Shayari
na sharmaao aankhein milaa kar to dekho
mulaaqaat hai ham se tum se kabhi ki
M
Munshi Khairati Laal ShaguftahaT na kar ai dukht-e-raz betaabiyaan baDh jaaeingi
gir paDegi paanv par dastaar-e-minaa dekhnaa
ہٹ نہ کر اے دخت رز بیتابیاں بڑھ جائیں گی
گر پڑے گی پاؤں پر دستار مینا دیکھنا
हट न कर ऐ दुख़्त-ए-रज़ बेताबियाँ बढ़ जाएँगी
गिर पड़ेगी पाँव पर दस्तार-ए-मीना देखना
na sharmaao aankhein milaa kar to dekho
mulaaqaat hai ham se tum se kabhi ki
ba-shakl-e-naakhun-e-angusht sar kaTaane se
hayaat milti hai jab intiqaal hotaa hai
main vo shaidaa-e-gesu huun ki aksar mausam-e-gul mein
miraa paa-e-nazar paDtaa hai zanjir-e-gulistaan par
adab bakhshaa hai aisaa rabt-e-alfaaz-e-munaasib ne
do-zaanu hai miri tab-e-rasaa tarkib-e-urdu se
mujh ko rote dekh kar paas aae vo tafhim ko
kyuun na dil se duun duaaein apne ghain o miim ko
jo husn-o-ishq kaa ham-vazn imtihaan Thahraa
vo be-dahan nazar aayaa mein be-zabaan Thahraa