Shayari
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
main ek sham-e-sar-e-rah-guzaar huun 'ajmal'
na jaane kis liye mujh ko bujhaanaa chaahtaa hai
میں ایک شمع سر رہ گزار ہوں اجملؔ
نہ جانے کس لئے مجھ کو بجھانا چاہتا ہے
मैं एक शम-ए-सर-ए-रह-गुज़ार हूँ 'अजमल'
न जाने किस लिए मुझ को बुझाना चाहता है

kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
us but-e-kaafir kaa zaahid ne bhi naam aisaa japaa
daana-e-tasbih har ik raam-daanaa ho gayaa
ye gum hue hain khayaal-e-visaal-e-jaanaan mein
ki ghar mein phirte hain ham apni justuju karte
jaanib-e-kaaba tu kyuun le gayaa but-khaane se
mujh se divaane ko ai ishq na bahkaanaa thaa
kahin dekhaa hai is haiat kaa maashuq
nazar kiijo muslimaanaan! khudaa-raa