Shayari
kyaa hai ki ham us ko kabhi puure nahin paDte
ham hi nahin kar paate hain bharpaai hamaari
agar hotaa to khud ko phir banaataa
magar afsos kuza-gar nahin huun
اگر ہوتا تو خود کو پھر بناتا
مگر افسوس کوزہ گر نہیں ہوں
अगर होता तो ख़ुद को फिर बनाता
मगर अफ़्सोस कूज़ा-गर नहीं हूँ

kyaa hai ki ham us ko kabhi puure nahin paDte
ham hi nahin kar paate hain bharpaai hamaari
nihaayat bhale tajriba-kaar ahl-e-vafaa chun liye hain
hamaari suhulat se ham ne hamaare khudaa chun liye hain
zinda rahaa to kaun saa zinda rahungaa main
mar bhi gayaa to kaun saa main mar hi jaaungaa
tum ko afsos tumhein Thiik banaayaa na gayaa
aur ik ham ki abhi chaak pe rakkhe na gae
rone lage to kaun hamein chup karaaegaa
so is ki ehtiyaat hai ham ro nahin rahe
ye gila hai ki haartaa bhi nahin
biich mein khel chhoD detaa huun