Shayari
bachchon ko ham na ek khilaunaa bhi de sake
gham aur baDh gayaa hai jo tyauhaar aae hain
dikhaao surat-e-taaza bayaan se pahle
kahaani aur hai kuchh daastaan se pahle
دکھاؤ صورت تازہ بیان سے پہلے
کہانی اور ہے کچھ داستان سے پہلے
दिखाओ सूरत-ए-ताज़ा बयान से पहले
कहानी और है कुछ दास्तान से पहले

bachchon ko ham na ek khilaunaa bhi de sake
gham aur baDh gayaa hai jo tyauhaar aae hain
hamein hijrat samajh mein itni aai
parinda aab-o-daana chaahtaa hai
nazar mein duur talak rahguzar zaruri hai
kisi bhi samt ho lekin safar zaruri hai
taamir-o-taraqqi vaale hain kahiye bhi to un ko kyaa kahiye
jo shish-mahal mein baiThe hue mazdur ki baatein karte hain
apni hi zaat ke mahbas mein samaane se uThaa
dard ehsaas kaa siine mein dabaane se uThaa
aangan aangan khuun ke chhinTe chehra chehra be-chehra
kis kis ghar kaa zikr karun mein kis kis ke sadmaat likhun