Shayari
dastakhat to tumhein bhi aate hain
abbaa tum bhi vazir ban jaate
ye sun ke bol uThaa us se be-zabaan shauhar
sukun bakhshegaa tum ko ab aaTHvaan shauhar
یہ سن کے بول اٹھا اس سے بے زباں شوہر
سکون بخشے گا تم کو اب آٹھواں شوہر
ये सुन के बोल उठा उस से बे-ज़बाँ शौहर
सुकून बख़्शेगा तुम को अब आठवाँ शौहर

dastakhat to tumhein bhi aate hain
abbaa tum bhi vazir ban jaate
khud tiis kaa hai aur dulhan saaTh baras ki
girti hui divaar ke saae mein khaDaa hai
be-vaqufi ke anokhe kaarnaame dekh kar
achchhe-khaase leaderon ko bhi gadhaa kahnaa paDaa
apni shohrat ki alag raah nikaali ham ne
kisi divaan se ghazal koi churaa li ham ne
teraa aadhaa kaam khud insaan hi karne lage
kaam teraa ab to ai shaitaan aadhaa rah gayaa
meraa sasuraal mein koi bhi taraf-daar nahin
un ke honTon pe bhi taale hain khudaa khair kare