Shayari
cup mein garmi dikhaa rahi thi bahut
chaae saucer mein Daal di main ne
maut aa jaae vabaa mein ye alag baat magar
ham tire hijr mein naagha to nahin kar sakte
موت آ جائے وبا میں یہ الگ بات مگر
ہم ترے ہجر میں ناغہ تو نہیں کر سکتے
मौत आ जाए वबा में ये अलग बात मगर
हम तिरे हिज्र में नाग़ा तो नहीं कर सकते

cup mein garmi dikhaa rahi thi bahut
chaae saucer mein Daal di main ne
mujh ko lagtaa hai ghaDi jis ne banaai hogi
intizaar us ko bhi shiddat se kisi kaa hogaa
puchh us shakhs se main jis ko nahin mil paayaa
main tujhe jitnaa mayassar huun tiri qismat hai
bahut hi khushki mein guzri hai is baras holi
gila hai tujh se ki giilaa nahin kiyaa mujh ko
vasl ko maan ke taraste hain mire bachche bhi
kaifiyat hijr ki mujh par hi nahin taari hai
andhere kaa tasavvur kyaa hai bolun
andheraa raushni se chal rahaa hai
vo mil gayaa to bichhaDnaa paDegaa phir 'zarrin'
isi khayaal se ham raaste badalte rahe
ye naazuk lab hain yaa aapas mein do lipTi hui kaliyaan
zaraa in ko alag kar do tarannum phuuT jaaeinge
ik chhoTaa saa thaa meraa aashiyaan
aaj tinke se alag tinkaa huaa
judaai se ziyaada jaan-levaa
mohabbat mein mohabbat ki kami hai
raushni khud bhi charaaghon se alag rahti hai
dil mein jo rahte hain vo dil nahin hone paate
tire tasavvur ki dhuup oDhe khaDaa huun chhat par
mire liye sardiyon kaa mausam zaraa alag hai