Shayari
DhunDaa kiye khudaa ko magar mil nahin sakaa
masjid mein but-kade mein kalisaa mein dair mein
S
Sahar Aligsharm-o-hayaa ne baaz rakhaa is qadar hamein
saayaa bhi un kaa dekh ke ham sar-nigun karein
شرم و حیا نے باز رکھا اس قدر ہمیں
سایا بھی ان کا دیکھ کے ہم سرنگوں کریں
शर्म-ओ-हया ने बाज़ रखा इस क़दर हमें
साया भी उन का देख के हम सर-निगूँ करें
DhunDaa kiye khudaa ko magar mil nahin sakaa
masjid mein but-kade mein kalisaa mein dair mein
Dhal gai vasl ki shab Duub gayaa dil kaa charaagh
ab vahin baiThe rahein aap jahaan the baiThe
ek moti huun main moti bhi baDaa qimti huun
par vo moti jo abhi gum hai samundar mein kahin
main duniyaa chaahti huun na duniyaa ki rif'atein
meri talab najaat hai bas aur kuchh nahin
ye jabr hai 'izzat hai mohabbat hai ki kyaa hai
banti hi nahin aap se inkaar ki surat
apne ajdaad ki dastaar ko dekhaa aur phir
kar liyaa dil ki tamanna se kinaara main ne