Shayari
sharm-o-hayaa ne baaz rakhaa is qadar hamein
saayaa bhi un kaa dekh ke ham sar-nigun karein
S
Sahar Aligapne ajdaad ki dastaar ko dekhaa aur phir
kar liyaa dil ki tamanna se kinaara main ne
اپنے اجداد کی دستار کو دیکھا اور پھر
کر لیا دل کی تمنا سے کنارہ میں نے
अपने अज्दाद की दस्तार को देखा और फिर
कर लिया दिल की तमन्ना से किनारा मैं ने
sharm-o-hayaa ne baaz rakhaa is qadar hamein
saayaa bhi un kaa dekh ke ham sar-nigun karein
main duniyaa chaahti huun na duniyaa ki rif'atein
meri talab najaat hai bas aur kuchh nahin
Dhal gai vasl ki shab Duub gayaa dil kaa charaagh
ab vahin baiThe rahein aap jahaan the baiThe
ek moti huun main moti bhi baDaa qimti huun
par vo moti jo abhi gum hai samundar mein kahin
shaahzaade hon vali hon ki sukhan-daan-e-shahr
jab vo dikhtaa hai koi aur kahaan dikhtaa hai
ye jabr hai 'izzat hai mohabbat hai ki kyaa hai
banti hi nahin aap se inkaar ki surat
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
khirad ki rah jo chalaa main to dil ne mujh se kahaa
aziz-e-man ''ba-salaamat-ravi o baaz-aai''