Shayari
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
ham ehtiyaat ki aisi misaal dete hain
tumhaaraa zikr bhi aayaa to Taal dete hain
ہم احتیاط کی ایسی مثال دیتے ہیں
تمہارا ذکر بھی آیا تو ٹال دیتے ہیں
हम एहतियात की ऐसी मिसाल देते हैं
तुम्हारा ज़िक्र भी आया तो टाल देते हैं

ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
koi bhi shakhs duniyaa mein tumhein chhoTaa nazar na aae
tum apne sochne kaa daaera itnaa baDaa kar lo
us se meraa koi rishta niklaa
mere jaisaa vo bhi tanhaa niklaa
tu kahaan rahti hai puchhaa thaa kisi ne ek din
main ghamon ke saath rahti huun khushi kahne lagi
main tumhaare shahr ki tahzib se vaaqif na thaa
pattharon se ki nahin thi guftugu pahle kabhi