Shayari
vo miri ruuh ki uljhan kaa sabab jaantaa hai
jism ki pyaas bujhaane pe bhi raazi niklaa
tum aur kisi ke ho to ham aur kisi ke
aur donon hi qismat ki shikaayat nahin karte
تم اور کسی کے ہو تو ہم اور کسی کے
اور دونوں ہی قسمت کی شکایت نہیں کرتے
तुम और किसी के हो तो हम और किसी के
और दोनों ही क़िस्मत की शिकायत नहीं करते

vo miri ruuh ki uljhan kaa sabab jaantaa hai
jism ki pyaas bujhaane pe bhi raazi niklaa
duniyaa pe apne ilm ki parchhaaiyaan na Daal
ai raushni-farosh andheraa na kar abhi
khaak main us ki judaai mein pareshaan phirun
jab ki ye milnaa bichhaDnaa miri marzi niklaa
hairaani mein huun aakhir kis ki parchhaain huun
vo bhi dhyaan mein aayaa jis kaa saaya koi na thaa
pyaas baDhti jaa rahi hai bahtaa dariyaa dekh kar
bhaagti jaati hain lahrein ye tamaashaa dekh kar
haadsa ye hai ki ham jaan na moattar kar paae
vo to khush-bu thaa use yuun bhi bikhar jaanaa thaa