Shayari
ye din aur raat kis jaanib uDe jaate hain sadiyon se
kahin rukte to main bhi shaamil-e-parvaaz ho saktaa
apni si khaak uDaa ke baiTh rahe
apnaa saa qaafila banaate hue
اپنی سی خاک اڑا کے بیٹھ رہے
اپنا سا قافلہ بناتے ہوئے
अपनी सी ख़ाक उड़ा के बैठ रहे
अपना सा क़ाफ़िला बनाते हुए

ye din aur raat kis jaanib uDe jaate hain sadiyon se
kahin rukte to main bhi shaamil-e-parvaaz ho saktaa
us ke baa'd agli qayaamat kyaa hai kis ko hosh hai
zakhm sahlaataa thaa aur ab daagh dikhlaataa huun main
ik zamaane tak badan be-khvaab be-aadaab the
phir achaanak apni uryaani kaa andaaza huaa
harf ke aavaaza-e-aakhir ko kar detaa huun nazm
sher kyaa kahtaa huun khaamoshi ko phailtaa huun main
ab khulaa khvaab mein kuchh khvaab milaataa thaa main
khaak uDaataa thaa main sayyaaron ki sayyaaron par
lahu ke kinaare bhi zad par hain donon
ye kyaa zakhm hai mundamil hone vaalaa