Shayari
zamin-e-dil pe mohabbat ki aab-yaari ko
bahut hi TuuT ke barsi ghaTaa udaasi ki
kisi ne phir se lagaai sadaa udaasi ki
palaT ke aane lagi hai fazaa udaasi ki
کسی نے پھر سے لگائی صدا اداسی کی
پلٹ کے آنے لگی ہے فضا اداسی کی
किसी ने फिर से लगाई सदा उदासी की
पलट के आने लगी है फ़ज़ा उदासी की

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate