Shayari
ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
meri fariyaad koi naiin suntaa
koi is shahr mein bhi bastaa hai
میری فریاد کوئی نئیں سنتا
کوئی اس شہر میں بھی بستا ہے
मेरी फ़रियाद कोई नईं सुनता
कोई इस शहर में भी बस्ता है

ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
kabhu bimaar sun kar vo ayaadat ko to aataa thaa
hamein apne bhale hone se vo aazaar behtar thaa
phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe
tang is qadar diyaa mujhe sayyaad ne qafas
bul-havas go karein tere lab-e-shirin par hujum
talkh mat ho ki miThaai se magas aati hai
meraa maashuq hai mazon mein bharaa
kabhu miThaa kabhu salonaa hai
sau baar taar taar kiyaa to bhi ab talak
saabit vahi hai dast o garebaan ki dosti
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
kahaan milaa main tujhe ye savaal baa'd kaa hai
tu pahle yaad to kar kis jagah ganvaayaa mujhe
'anjum' tumhaaraa shahr jidhar hai usi taraf
ik rail jaa rahi thi ki tum yaad aa gae
tum ko bhulaa rahi thi ki tum yaad aa gae
main zahr khaa rahi thi ki tum yaad gae
kal shaam chhat pe mir-taqi-'mir' ki ghazal
main gungunaa rahi thi ki tum yaad aa gae