Shayari
kabhu bimaar sun kar vo ayaadat ko to aataa thaa
hamein apne bhale hone se vo aazaar behtar thaa
ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
اے خزاں بھاگ جا چمن سے شتاب
ورنہ فوج بہار آوے ہے
ऐ ख़िज़ाँ भाग जा चमन से शिताब
वर्ना फ़ौज-ए-बहार आवे है

kabhu bimaar sun kar vo ayaadat ko to aataa thaa
hamein apne bhale hone se vo aazaar behtar thaa
phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe
tang is qadar diyaa mujhe sayyaad ne qafas
bul-havas go karein tere lab-e-shirin par hujum
talkh mat ho ki miThaai se magas aati hai
meraa maashuq hai mazon mein bharaa
kabhu miThaa kabhu salonaa hai
dekhun huun tujh ko duur se baiThaa hazaar kos
ainak na chaahiye na yahaan durbin mujhe
sau baar taar taar kiyaa to bhi ab talak
saabit vahi hai dast o garebaan ki dosti
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
khamoshi jhaankti hai khiDkiyon se
gali mein shor saa phailaa huaa hai
dariyaa mein Dubo deinge sabhi shikve gile ham
saahil pe mulaaqaat mulaaqaat rahegi
chhupaa huun main sadaa-e-baansuli mein
ki taa jaanun pari-ru ki gali mein