Shayari
ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
raat mere fughaan-o-naale se
saari basti na niind bhar soi
رات میرے فغاں و نالے سے
ساری بستی نہ نیند بھر سوئی
रात मेरे फ़ुग़ाँ-ओ-नाले से
सारी बस्ती न नींद भर सोई

ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
kabhu bimaar sun kar vo ayaadat ko to aataa thaa
hamein apne bhale hone se vo aazaar behtar thaa
phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe
tang is qadar diyaa mujhe sayyaad ne qafas
bul-havas go karein tere lab-e-shirin par hujum
talkh mat ho ki miThaai se magas aati hai
meraa maashuq hai mazon mein bharaa
kabhu miThaa kabhu salonaa hai
sau baar taar taar kiyaa to bhi ab talak
saabit vahi hai dast o garebaan ki dosti
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
niind us ki hai dimaagh us kaa hai raatein us ki hain
teri zulfein jis ke baazu par pareshaan ho gaiin
dil ki betaabi nahin Thaharne deti hai mujhe
din kahin raat kahin subh kahin shaam kahin
raat aai hai balaaon se rihaai degi
ab na divaar na zanjir dikhaai degi