Shayari
na yahi ki zauq-e-nazar miraa saf-e-gul-rukhaan se guzar gayaa
main tiri talaash mein baar-haa mah-o-kahkashaan se guzar gayaa
S
Shariq Irayanikahin daam-e-sabza-e-gul milaa kahin aarzu kaa chaman khilaa
tire husn ko ye khabar bhi hai main kahaan kahaan se guzar gayaa
کہیں دام سبزۂ گل ملا کہیں آرزو کا چمن کھلا
ترے حسن کو یہ خبر بھی ہے میں کہاں کہاں سے گزر گیا
कहीं दाम-ए-सब्ज़ा-ए-गुल मिला कहीं आरज़ू का चमन खिला
तिरे हुस्न को ये ख़बर भी है मैं कहाँ कहाँ से गुज़र गया
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
marte hain aarzu mein marne ki
maut aati hai par nahin aati
kabhi khauf thaa tire hijr kaa kabhi aarzu ke zavaal kaa
rahaa hijr-o-vasl ke darmiyaan tujhe kho sakaa na main paa sakaa
khvaahish sab rakhte hain tujh ko paane ki
aur phir apni apni qismat hoti hai
'alvi' khvaahish bhi thi baanjh
jazba bhi naa-mard milaa
main nigaah-e-paak se dekhe thaa tire husn-e-paak ko is pe bhi
mire ji mein khvaahish-e-vasl thi tire dil mein bos-o-kanaar thaa