Shayari
dusron ke zakhm bun kar oDhnaa aasaan nahin
sab qabaaein hech hain meri ridaa ke saamne
main ne bhi dekhne ki had kar di
vo bhi tasvir se nikal aayaa
میں نے بھی دیکھنے کی حد کر دی
وہ بھی تصویر سے نکل آیا
मैं ने भी देखने की हद कर दी
वो भी तस्वीर से निकल आया

dusron ke zakhm bun kar oDhnaa aasaan nahin
sab qabaaein hech hain meri ridaa ke saamne
khayaal-o-khvaab ko naam-o-nasab ko achchhaa ho
puraane saalon se ye saal sab ko achchhaa ho
mujhe bhi lamha-e-hijrat ne kar diyaa taqsim
nigaah ghar ki taraf hai qadam safar ki taraf
koi saaya na koi ham-saaya
aab-o-daana ye kis jagah laayaa
rekhta kaa ik nayaa majzub hai 'shahpar' rasul
shohrat us ke naam par ik nang hai bohtaan hai
'shahpar' miri hadon kaa taayyun kare koi
aankhon se bah rahun ki ragon mein phiraa karun