Shayari
faraaz-e-daar pe bhi main ne tere giit gaae hain
bataa ai zindagi tu legi kab tak imtihaan meraa
jama kar lijiye ghairon ko magar khubi-e-bazm
bas vahin tak hai ki baazaar na hone paae
جمع کر لیجئے غیروں کو مگر خوبئ بزم
بس وہیں تک ہے کہ بازار نہ ہونے پائے
जम्अ कर लीजिए ग़ैरों को मगर ख़ूबी-ए-बज़्म
बस वहीं तक है कि बाज़ार न होने पाए

faraaz-e-daar pe bhi main ne tere giit gaae hain
bataa ai zindagi tu legi kab tak imtihaan meraa
aap jaate to hain us bazm mein 'shibli' lekin
haal-e-dil dekhiye izhaar na hone paae
main ruh-e-aalam-e-imkaan mein sharh-e-azmat-e-yazdaan
azal hai meri bedaari abad khvaab-e-giraan meraa
ye nazm-e-aain ye tarz-e-bandish sukhanvari hai fusun-gari hai
ki rekhta mein bhi tere 'shibli' maza hai tarz-e-'ali-hazin' kaa
ajab kyaa hai jo nau-khezon ne sab se pahle jaanein diin
ki ye bachche hain in ko jald so jaane ki aadat hai
taskhir-e-chaman par naazaan hain tazin-e-chaman to kar na sake
tasnif fasaana karte hain kyuun aap mujhe bahlaane ko