Shayari
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
lo chaae mein bhi chaae ki patti nahin Daali
tum ko to mohabbat ke sivaa kuchh nahin aataa
لو چائے میں بھی چائے کی پتی نہیں ڈالی
تم کو تو محبت کے سوا کچھ نہیں آتا
लो चाय में भी चाय की पत्ती नहीं डाली
तुम को तो मोहब्बत के सिवा कुछ नहीं आता

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
yuun to mohabbaton mein baDi qurbatein rahin
lekin jo dil se puchho to khalvat kamaai hai
ghuTan taDpan udaasi ashk rusvaai akelaa-pan
baghair in ke adhuri ishq ki har ik kahaani hai
na duniyaa kaa huun main na kuchh fikr diin kaa
mohabbat ne rakkhaa na mujh ko kahin kaa
judaai se ziyaada jaan-levaa
mohabbat mein mohabbat ki kami hai