Shayari
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
kyaa hoegaa sunoge agar kaan dhar ke tum
guzri birah ki raat jo mujh par kahaaniyaan
کیا ہوئے گا سنو گے اگر کان دھر کے تم
گزری برہ کی رات جو مجھ پر کہانیاں
kyā ho.egā sunoge agar kaan dhar ke tum
guzrī birah kī raat jo mujh par kahāniyāñ

jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
boltaa huun jo vo bulaataa hai
tan ke pinjre mein us kaa totaa huun
vaqt hai ab namaaz-e-maghrib kaa
chaand rukh lab shafaq hai gesu shaam
tahqiq ki nazar siin aakhir kuun ham ne dekhaa
akasr hain maal vaale kam hain kamaal vaale
masjid vahshat mein paDhtaa hai taraavih-e-junun
mushaf husn-e-pari-rukhsaar jis kuun yaad hai
dekhaa hai jis ne yaar ke rukhsaar ki taraf
hargiz na jaave sair kuun gulzaar ki taraf
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
kahun ai zauq kyaa haal-e-shab-e-hijr
ki thi ik ik ghaDi sau sau mahine
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
ab bhi barsaat ki raaton mein badan TuTtaa hai
jaag uThti hain ajab khvaahishein angDaai ki