Shayari
kitni aasaani se mashhur kiyaa hai khud ko
main ne apne se baDe shakhs ko gaali de kar
dekhein qarib se bhi to achchhaa dikhaai de
ik aadmi to shahr mein aisaa dikhaai de
دیکھیں قریب سے بھی تو اچھا دکھائی دے
اک آدمی تو شہر میں ایسا دکھائی دے
देखें क़रीब से भी तो अच्छा दिखाई दे
इक आदमी तो शहर में ऐसा दिखाई दे

kitni aasaani se mashhur kiyaa hai khud ko
main ne apne se baDe shakhs ko gaali de kar
chhat Tapakti thi agarche phir bhi aa jaati thi niind
main nae ghar mein bahut royaa puraane ke liye
abhi zinda hain ham par khatm kar le imtihaan saare
hamaare baad koi imtihaan koi nahin degaa
meri ik chhoTi si koshish tujh ko paane ke liye
ban gai hai masala saare zamaane ke liye
aasmaan aisaa bhi kyaa khatra thaa dil ki aag se
itni baarish ek shole ko bujhaane ke liye
apne atvaar mein kitnaa baDaa shaatir hogaa
zindagi tujh se kabhi jis ne shikaayat nahin ki