Shayari
hai ajab nizaam zakaat kaa mire mulk mein mire des mein
ise kaaTtaa koi aur hai ise baanTtaa koi aur hai
vo bhari bazm mein kahti hai mujhe uncle-ji
diplomacy hai ye kaisi miri ham-saai ki
وہ بھری بزم میں کہتی ہے مجھے انکل جی
ڈپلومیسی ہے یہ کیسی مری ہمسائی کی
वो भरी बज़्म में कहती है मुझे अंकल-जी
डिप्लोमेसी है ये कैसी मिरी हम-साई की

hai ajab nizaam zakaat kaa mire mulk mein mire des mein
ise kaaTtaa koi aur hai ise baanTtaa koi aur hai
mujhe apni biivi pe fakhr hai mujhe apne saale pe naaz hai
nahin dosh donon kaa is mein kuchh mujhe DaanTtaa koi aur hai
khush hote hain ham log agar koi hasina
is umr ham par koi tohmat hi lagaae
jaane kaa naam hi nahin letaa vo nek-bakht
''muddat hui hai yaar ko mehmaan kiye hue''
mere taayaa se vo hain umr mein das saal baDi
ghar ke har fard pe dahshat hai miri taai ki
sar-e-bazm mujh ko uThaa diyaa mujhe maar maar liTaa diyaa
mujhe maartaa koi aur hai vale haanptaa koi aur hai