yad-e-mazi 'azab hai ya-rab
chhin le mujh se hafiza mera

Akhtar Ansari
Akhtar Ansari
Sherशेर
See all 27 →yad-e-mazi 'azab hai ya-rab
याद-ए-माज़ी 'अज़ाब है या-रब
vo maazi jo hai ik majmua ashkon aur aahon ka
वो माज़ी जो है इक मजमुआ अश्कों और आहों का
jab se munh ko lag ga.i 'akhtar' mohabbat ki sharab
जब से मुँह को लग गई 'अख़्तर' मोहब्बत की शराब
samajhta huun main sab kuchh sirf samjhana nahin aata
समझता हूँ मैं सब कुछ सिर्फ़ समझाना नहीं आता
shabab naam hai us jan-navaz lamhe ka
शबाब नाम है उस जाँ-नवाज़ लम्हे का
apni ujDi hui duniya ki kahani huun main
अपनी उजड़ी हुई दुनिया की कहानी हूँ मैं
Popular Sher & Shayari
54 totalvo maazi jo hai ik majmua ashkon aur aahon ka
na jaane mujh ko is maazi se kyuun itni mohabbat hai
jab se munh ko lag ga.i 'akhtar' mohabbat ki sharab
be-piye aThon pahar madhosh rahna aa gaya
samajhta huun main sab kuchh sirf samjhana nahin aata
taDapta huun magar auron ko taDpana nahin aata
shabab naam hai us jan-navaz lamhe ka
jab aadmi ko ye mahsus ho javan huun main
apni ujDi hui duniya ki kahani huun main
ek bigDi hui tasvir-e-javani huun main
ai soz-e-jaan-gudaaz abhi main javaan huun
ai dard-e-laa-ilaaj ye umr-e-shabaab hai
samajhtaa huun main sab kuchh sirf samjhaanaa nahin aataa
taDaptaa huun magar auron ko taDpaanaa nahin aataa
us se puchhe koi chaahat ke maze
jis ne chaahaa aur jo chaahaa gayaa
yaaron ke ikhlaas se pahle dil kaa mire ye haal na thaa
ab vo chaknaachur paDaa hai jis shishe mein baal na thaa
rang o bu mein Duube rahte the havaas
haae kyaa shai thi bahaar-e-aarzu
ragon mein dauDti hain bijliyaan lahu ke evaz
shabaab kahte hain jis chiiz ko qayaamat hai
Ghazalग़ज़ल
jaan-sapaari ke bhi armaan zindagi ki aas bhi
जाँ-सिपारी के भी अरमाँ ज़िंदगी की आस भी
lutf le le ke piye hain qadah-e-gham kyaa kyaa
लुत्फ़ ले ले के पिए हैं क़दह-ए-ग़म क्या क्या
bahaar aai zamaana huaa kharaabaati
बहार आई ज़माना हुआ ख़राबाती
har vaqt nauha-khvaan si rahti hain meri aankhein
हर वक़्त नौहा-ख़्वाँ सी रहती हैं मेरी आँखें
charkh ki sai-e-jafaa koshish naakaara hai
चर्ख़ की सई-ए-जफ़ा कोशिश नाकारा है
mohabbat hai aziyyat hai hujum-e-yaas-o-hasrat hai
मोहब्बत है अज़िय्यत है हुजूम-ए-यास-ओ-हसरत है





