Shayari
samajhtaa huun main sab kuchh sirf samjhaanaa nahin aataa
taDaptaa huun magar auron ko taDpaanaa nahin aataa
us se puchhe koi chaahat ke maze
jis ne chaahaa aur jo chaahaa gayaa
اس سے پوچھے کوئی چاہت کے مزے
جس نے چاہا اور جو چاہا گیا
उस से पूछे कोई चाहत के मज़े
जिस ने चाहा और जो चाहा गया

samajhtaa huun main sab kuchh sirf samjhaanaa nahin aataa
taDaptaa huun magar auron ko taDpaanaa nahin aataa
ai soz-e-jaan-gudaaz abhi main javaan huun
ai dard-e-laa-ilaaj ye umr-e-shabaab hai
yaaron ke ikhlaas se pahle dil kaa mire ye haal na thaa
ab vo chaknaachur paDaa hai jis shishe mein baal na thaa
rang o bu mein Duube rahte the havaas
haae kyaa shai thi bahaar-e-aarzu
yaad-e-maazi 'azaab hai yaa-rab
chhin le mujh se haafiza meraa
ragon mein dauDti hain bijliyaan lahu ke evaz
shabaab kahte hain jis chiiz ko qayaamat hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
jis qadar jazb-e-mohabbat kaa asar hotaa gayaa
ishq khud tark o talab se be-khabar hotaa gayaa
mohabbat ki sultaani hai sab jagat mein
ki is sam nahin koi gyaani-o-daani
taghaaful ik hasin dhoka hai naaseh
mohabbat aazmaai jaa rahi hai