jan-o-dil hain udaas se mere
uTh gaya kaun paas se mere

Meer Hasan
Meer Hasan
Sherशेर
See all 108 →jan-o-dil hain udaas se mere
जान-ओ-दिल हैं उदास से मेरे
itne aansu to na the dida-e-tar ke aage
इतने आँसू तो न थे दीदा-ए-तर के आगे
iz.har-e-khamoshi men hai sau tarah ki fariyad
इज़हार-ए-ख़मोशी में है सौ तरह की फ़रियाद
qismat ne duur aisa hi phenka hamen ki ham
क़िस्मत ने दूर ऐसा ही फेंका हमें कि हम
go bhale sab hain aur main huun bura
गो भले सब हैं और मैं हूँ बुरा
hai yahi shauq shahadat ka agar dil men to ishq
है यही शौक़ शहादत का अगर दिल में तो इश्क़
Popular Sher & Shayari
216 totalitne aansu to na the dida-e-tar ke aage
ab to paani hi bhara rahta hai ghar ke aage
iz.har-e-khamoshi men hai sau tarah ki fariyad
zahir ka ye parda hai ki main kuchh nahin kahta
qismat ne duur aisa hi phenka hamen ki ham
phir jite-ji pahunch na sake apne yaar tak
go bhale sab hain aur main huun bura
kya bhalon men bura nahin hota
hai yahi shauq shahadat ka agar dil men to ishq
le hi pahunchega hamen bhi tiri shamshir talak
rakhkhun kahaan main apne pari-zaad ko 'hasan'
shisha jo ek dil kaa mire hai so chuur hai
mat ponchh abru-e-araq-aalud haath se
laazim hai ehtiyaat ki hai aab-daar tegh
taaki ibrat karein aur ghair na dekhein tujh ko
ji mein aataa hai nikalvaaiye do-chaar ki aankh
guzri hai raat mujh mein aur dil mein turfa sohbat
idhar to main ne ki aah udhar se vo karaahaa
mat bakht-e-khufta par mire hans ai raqib tu
hogaa tire nasib bhi ye khvaab dekhnaa
na gharaz mujh ko hai kaafir se na din-daar se kaam
roz-o-shab hai mujhe us kaakul-e-khamdaar se kaam
Ghazalग़ज़ल
aankhon mein hain haqir jis-tis ke
आँखों में हैं हक़ीर जिस-तिस के
aankhon se khuun apne ye kahtaa nahin na jaae
आँखों से ख़ून अपने ये कहता नहीं न जाए
dariyaa mein Duub jaave ki yaa chaah mein paDe
दरिया में डूब जावे कि या चाह में पड़े
aaj dil be-qaraar hai kyaa hai
आज दिल बे-क़रार है क्या है
nigah se chashm se naaz-o-adaa se
निगह से चश्म से नाज़-ओ-अदा से
is Dar se main ne zulf ki us ki na baat ki
इस डर से मैं ने ज़ुल्फ़ की उस की न बात की





