Shayari
na gharaz mujh ko hai kaafir se na din-daar se kaam
roz-o-shab hai mujhe us kaakul-e-khamdaar se kaam
mat bakht-e-khufta par mire hans ai raqib tu
hogaa tire nasib bhi ye khvaab dekhnaa
مت بخت خفتہ پر مرے ہنس اے رقیب تو
ہوگا ترے نصیب بھی یہ خواب دیکھنا
मत बख़्त-ए-ख़ुफ़्ता पर मिरे हँस ऐ रक़ीब तू
होगा तिरे नसीब भी ये ख़्वाब देखना

na gharaz mujh ko hai kaafir se na din-daar se kaam
roz-o-shab hai mujhe us kaakul-e-khamdaar se kaam
mat ponchh abru-e-araq-aalud haath se
laazim hai ehtiyaat ki hai aab-daar tegh
taaki ibrat karein aur ghair na dekhein tujh ko
ji mein aataa hai nikalvaaiye do-chaar ki aankh
guzri hai raat mujh mein aur dil mein turfa sohbat
idhar to main ne ki aah udhar se vo karaahaa
kaabe ko gayaa chhoD ke kyuun dil ko tu ai shaikh
Tuk ji mein samajhtaa to sahi yaan bhi to rab thaa
furqat ki shab mein aaj ki phir kyaa jalaaveinge
dil kaa diyaa thaa ek so kal hi jalaa diyaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
yaa rab hamein to khvaab mein bhi mat dikhaaiyo
ye mahshar-e-khayaal ki duniyaa kahein jise
hijr-e-jaanaan ke alam mein ham farishte ban gae
dhyaan muddat se chhuTaa aab-o-taaam-o-khvaab kaa
ab jis dil-e-khvaabida ki khulti nahin aankhein
raaton ko sirhaane mire bedaar yahi thaa
raat aati hai to taaqon mein jalaate hain charaagh
khvaab zinda hain so aankhon mein jalaate hain charaagh