Sher
siina figar chak-gareban kafan-ba-dosh
aa.e hain teri bazm men is bankpan se ham

Sohail Azeemabadi
siina figar chak-gareban kafan-ba-dosh
सीना फ़िगार चाक-गरेबाँ कफ़न-ब-दोश
har vaqt ki ah-o-zari se dam bhar to zara milti fursat
हर वक़्त की आह-ओ-ज़ारी से दम भर तो ज़रा मिलती फ़ुर्सत
vo lamha ziist ka la.anat hai aadmi ke liye
वो लम्हा ज़ीस्त का लअ'नत है आदमी के लिए
al-madad ai jazba-e-zauq-e-mohabbat al-madad
अल-मदद ऐ जज़्बा-ए-ज़ौक़-ए-मोहब्बत अल-मदद
dimagh ko kar raha huun raushan main dagh-e-dil ke jala raha huun
दिमाग़ को कर रहा हूँ रौशन मैं दाग़-ए-दिल के जला रहा हूँ
kya lutf hai aise jiine ka jis ki na kisi ko parva ho
क्या लुत्फ़ है ऐसे जीने का जिस की न किसी को पर्वा हो
siina figar chak-gareban kafan-ba-dosh
aa.e hain teri bazm men is bankpan se ham
har vaqt ki ah-o-zari se dam bhar to zara milti fursat
rona hi muqaddar tha mera to kis liye main shabnam na hua
vo lamha ziist ka la.anat hai aadmi ke liye
jhuke jo sar kahin iz.har-e-bandagi ke liye
al-madad ai jazba-e-zauq-e-mohabbat al-madad
ishq ne avaz di be-ikhtiyarana mujhe
dimagh ko kar raha huun raushan main dagh-e-dil ke jala raha huun
ab apni tarik zindagi ka naya sarapa bana raha huun
kya lutf hai aise jiine ka jis ki na kisi ko parva ho
kis kaam ka marna vo marna jis ka ki kisi ko gham na hua
kyaa lutf hai aise jiine kaa jis ki na kisi ko parvaa ho
kis kaam kaa marnaa vo marnaa jis kaa ki kisi ko gham na huaa
khaak uchhaalo jo zamin par to falak par gir jaae
ab khulaa ye ki bahut past hai himmat meri
vo raatein kaif mein Duubi vo teri pyaar ki baatein
nikal paDte hain aansu jab kabhi ham yaad karte hain
ai hasrat-e-dil go vasl huaa par shauq hamaaraa kam na huaa
jis se ki khalish kuchh aur baDhe vo zakhm huaa marham na huaa
vo kaun dil hai jahaan mein kah duun jise ki ye aap kaa nahin hai
ghazab to ye hai ki meraa dil hai magar miraa ham-navaa nahin hai
kyaa gham hai jo ham gumnaam rahe tum to na magar badnaam hue
achchhaa hai ki mere marne par duniyaa mein miraa maatam na huaa