Shayari
kyaa lutf hai aise jiine kaa jis ki na kisi ko parvaa ho
kis kaam kaa marnaa vo marnaa jis kaa ki kisi ko gham na huaa
ai hasrat-e-dil go vasl huaa par shauq hamaaraa kam na huaa
jis se ki khalish kuchh aur baDhe vo zakhm huaa marham na huaa
اے حسرت دل گو وصل ہوا پر شوق ہمارا کم نہ ہوا
جس سے کہ خلش کچھ اور بڑھے وہ زخم ہوا مرہم نہ ہوا
ऐ हसरत-ए-दिल गो वस्ल हुआ पर शौक़ हमारा कम न हुआ
जिस से कि ख़लिश कुछ और बढ़े वो ज़ख़्म हुआ मरहम न हुआ

kyaa lutf hai aise jiine kaa jis ki na kisi ko parvaa ho
kis kaam kaa marnaa vo marnaa jis kaa ki kisi ko gham na huaa
khaak uchhaalo jo zamin par to falak par gir jaae
ab khulaa ye ki bahut past hai himmat meri
vo raatein kaif mein Duubi vo teri pyaar ki baatein
nikal paDte hain aansu jab kabhi ham yaad karte hain
vo kaun dil hai jahaan mein kah duun jise ki ye aap kaa nahin hai
ghazab to ye hai ki meraa dil hai magar miraa ham-navaa nahin hai
dimaagh ko kar rahaa huun raushan main daagh-e-dil ke jalaa rahaa huun
ab apni taarik zindagi kaa nayaa saraapaa banaa rahaa huun
kyaa gham hai jo ham gumnaam rahe tum to na magar badnaam hue
achchhaa hai ki mere marne par duniyaa mein miraa maatam na huaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ham kisi sultaan ke taabe nahin 'aabid-vadud'
ham vo kahte hain jo apne dil pe hai guzri hui
yaad bhi teri miT gai dil se
aur kyaa rah gayaa hai hone ko
dil arsh-gaah-e-husn hai dil jalva-gaah-e-naaz
ye aap hi kaa ghar hai hamaari guzar kahaan
na puchho jaan par kyaa kuchh guzarti hai gham-e-dil se
qaraar aanaa kahaan kaa saans bhi aati hai mushkil se