Sher
apni surat lagi para.i si
jab kabhi ham ne a.ina dekha

Sudarshan Faakir
apni surat lagi para.i si
अपनी सूरत लगी पराई सी
dil ke divar-o-dar pe kya dekha
दिल के दीवार-ओ-दर पे क्या देखा
ye sikhaya hai dosti ne hamen
ये सिखाया है दोस्ती ने हमें
ek do roz ka sadma ho to ro len 'fakir'
एक दो रोज़ का सदमा हो तो रो लें 'फ़ाकिर'
samne hai jo use log bura kahte hain
सामने है जो उसे लोग बुरा कहते हैं
ashiqi ho ki bandagi 'fakhir'
आशिक़ी हो कि बंदगी 'फ़ाख़िर'
apni surat lagi para.i si
jab kabhi ham ne a.ina dekha
dil ke divar-o-dar pe kya dekha
bas tira naam hi likha dekha
ye sikhaya hai dosti ne hamen
dost ban kar kabhi vafa na karo
ek do roz ka sadma ho to ro len 'fakir'
ham ko har roz ke sadmat ne rone na diya
samne hai jo use log bura kahte hain
jis ko dekha hi nahin us ko khuda kahte hain
ashiqi ho ki bandagi 'fakhir'
be-dili se to ibtida na karo
dil to rotaa rahe aur aankh se aansu na bahe
ishq ki aisi rivaayaat ne dil toD diyaa
har taraf ziist ki raahon mein kaDi dhuup hai dost
bas tiri yaad ke saae hain panaahon ki tarah
tere jaane mein aur aane mein
ham ne sadiyon kaa faasla dekhaa
ye sikhaayaa hai dosti ne hamein
dost ban kar kabhi vafaa na karo
mere dukh ki koi davaa na karo
mujh ko mujh se abhi judaa na karo
rone vaalon se kaho un kaa bhi ronaa ro lein
jin ko majburi-e-haalaat ne rone na diyaa