Shayari
dil to rotaa rahe aur aankh se aansu na bahe
ishq ki aisi rivaayaat ne dil toD diyaa
ye sikhaayaa hai dosti ne hamein
dost ban kar kabhi vafaa na karo
یہ سکھایا ہے دوستی نے ہمیں
دوست بن کر کبھی وفا نہ کرو
ये सिखाया है दोस्ती ने हमें
दोस्त बन कर कभी वफ़ा न करो

dil to rotaa rahe aur aankh se aansu na bahe
ishq ki aisi rivaayaat ne dil toD diyaa
har taraf ziist ki raahon mein kaDi dhuup hai dost
bas tiri yaad ke saae hain panaahon ki tarah
tere jaane mein aur aane mein
ham ne sadiyon kaa faasla dekhaa
mere dukh ki koi davaa na karo
mujh ko mujh se abhi judaa na karo
meraa qaatil hi meraa munsif hai
kyaa mire haq mein faisla degaa
rone vaalon se kaho un kaa bhi ronaa ro lein
jin ko majburi-e-haalaat ne rone na diyaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
baat aati hai doston ki jab
mujh ko dushman 'aziz lagte hain
yaar bhalaa kitni baaton par hansnaa hai
hanste-hanste ham paagal ho sakte hain
jiteinge na ham se baazi-e-ishq
aghyaar ke piT paDeinge paanse
pyaar hi pyaar hai sab log baraabar hain yahaan
mai-kade mein koi chhoTaa na baDaa jaam uThaa
gali ke baahar tamaam manzar badal gae the
jo saaya-e-ku-e-yaar utraa to main ne dekhaa