Shayari
aaiye shauq se bhaunchaal bapaa kar diije
bazm-e-dil aap ki khaatir hi sajaa rakkhi hai

Zubair Ahmad Saani
aaiye shauq se bhaunchaal bapaa kar diije
bazm-e-dil aap ki khaatir hi sajaa rakkhi hai
mauzu'-e-guftugu to hai jinsi jamaaliyaat
aur markaz-e-khayaal tumhaaraa hi jism hai
chashm-poshi karein mukhlis hain vafaa mein vo agar
kyon mire achchhe-bure par vo nazar rakhte hain
zindagi se milaa nahin kuchh bhi
phir bhi ik aas hai musalsal hai
tiri maa'sum nigaahon ke taqaddus ke tufail
'ishq tahzib se aaraasta ho jaataa hai
is vaaste muhaal hai ham donon mein nibaah
tu khud-numaa hai main bhi riyaa ke khilaaf huun