Shayari
is vaaste muhaal hai ham donon mein nibaah
tu khud-numaa hai main bhi riyaa ke khilaaf huun
zindagi se milaa nahin kuchh bhi
phir bhi ik aas hai musalsal hai
زندگی سے ملا نہیں کچھ بھی
پھر بھی اک آس ہے مسلسل ہے
ज़िंदगी से मिला नहीं कुछ भी
फिर भी इक आस है मुसलसल है

is vaaste muhaal hai ham donon mein nibaah
tu khud-numaa hai main bhi riyaa ke khilaaf huun
aaiye shauq se bhaunchaal bapaa kar diije
bazm-e-dil aap ki khaatir hi sajaa rakkhi hai
mauzu'-e-guftugu to hai jinsi jamaaliyaat
aur markaz-e-khayaal tumhaaraa hi jism hai
chashm-poshi karein mukhlis hain vafaa mein vo agar
kyon mire achchhe-bure par vo nazar rakhte hain
tiri maa'sum nigaahon ke taqaddus ke tufail
'ishq tahzib se aaraasta ho jaataa hai
roz miltaa hai bulandi kaa nayaa ziina mujhe
roz taklif kai logon ko ho jaati hai
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
vo ek pal ki rifaaqat bhi kyaa rifaaqat thi
jo de gai hai mujhe umar bhar ki tanhaai
jaan bhi saath chhoD deti hai
ye sabaq zindagi se miltaa hai
zindagi kitni masarrat se guzarti yaa rab
aish ki tarah agar gham bhi gavaaraa hotaa