Shayari
tiraa javaab mire kaam kaa nahin hai ab
ki main to bhuul chukaa huun savaal vaise hi

Zubair Qaisar
tiraa javaab mire kaam kaa nahin hai ab
ki main to bhuul chukaa huun savaal vaise hi
ye nafsiyaati marizon kaa shahr hai 'qaisar'
koi savaal uThaaoge maare jaaoge
tiri tasvir uThaai hui hai
raushni khvaab mein aai hui hai
subh tak be-talab main jaagungaa
aaj to be-sabab main jaagungaa
main us ke jaal mein aaungaa dekhnaa 'qaisar'
vo mujh ko dhoke se ghar mein bulaa ke maaregaa
shikasta khvaab mire aaine mein rakkhe hain
ye kyaa azaab mire aaine mein rakkhe hain
usi kaa dard hai jis ke jigar kaa laasha hai
उसी का दर्द है जिस के जिगर का लाशा है
main kaise jhel sakungaa banaane vaale kaa dukh
मैं कैसे झेल सकूँगा बनाने वाले का दुख
vafaa ke jurm mein aksar pukaare jaate hain
वफ़ा के जुर्म में अक्सर पुकारे जाते हैं
jhulasti dhuup mein mujh ko jalaa ke maaregaa
झुलसती धूप में मुझ को जला के मारेगा
kahin se aayaa tumhaaraa khayaal vaise hi
कहीं से आया तुम्हारा ख़याल वैसे ही
nazar nazar se milaaoge maare jaaoge
नज़र नज़र से मिलाओगे मारे जाओगे