Shayari
Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud pooche, bata teri raza kya hai
Allama Iqbal's most empowering verses on Khudi — self-belief and inner strength.
Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud pooche, bata teri raza kya hai
saare jahaan se achchhaa hindostaan hamaaraa
ham bulbulein hain is ki ye gulsitaan hamaaraa
ye jannat mubaarak rahe zaahidon ko
ki main aap kaa saamnaa chaahtaa huun
aankh jo kuchh dekhti hai lab pe aa saktaa nahin
mahv-e-hairat huun ki duniyaa kyaa se kyaa ho jaaegi
tujhe kitaab se mumkin nahin faraagh ki tu
kitaab-khvaan hai magar saahib-e-kitaab nahin
vo harf-e-raaz ki mujh ko sikhaa gayaa hai junun
khudaa mujhe nafas-e-jabrail de to kahun
milegaa manzil-e-maqsud kaa usi ko suraagh
andheri shab mein hai chite ki aankh jis kaa charaagh
yuun to sayyad bhi ho mirzaa bhi ho afghaan bhi ho
tum sabhi kuchh ho bataao to musalmaan bhi ho
dil soz se khaali hai nigah paak nahin hai
phir is mein ajab kyaa ki tu bebaak nahin hai
ye kaaenaat abhi naa-tamaam hai shaayad
ki aa rahi hai damaadam sadaa-e-kun-fayakun
kabhi ai haqiqat-e-muntazar nazar aa libaas-e-majaaz mein
ki hazaaron sajde taDap rahe hain miri jabin-e-niyaaz mein
nahin minnat-kash-e-taab-e-shunidan daastaan meri
khamoshi guftugu hai be-zabaani hai zabaan meri
ghulaami mein na kaam aati hain shamshirein na tadbirein
jo ho zauq-e-yaqin paidaa to kaT jaati hain zanjirein
'attaar' ho 'rumi' ho 'raazi' ho 'ghazaali' ho
kuchh haath nahin aataa be-aah-e-sahar-gaahi
khudi ko kar buland itnaa ki har taqdir se pahle
khudaa bande se khud puchhe bataa teri razaa kyaa hai
main tujh ko bataataa huun taqdir-e-umam kyaa hai
shamshir-o-sinaan avval taaus-o-raubaab aakhir
anokhi vaza hai saare zamaane se niraale hain
ye aashiq kaun si basti ke yaa-rab rahne vaale hain
uTTho miri duniyaa ke gharibon ko jagaa do
kaakh-e-umaaraa ke dar-o-divaar hilaa do
haan dikhaa de ai tasavvur phir vo subh o shaam tu
dauD pichhe ki taraf ai gardish-e-ayyaam tu
sau sau umidein bandhti hai ik ik nigaah par
mujh ko na aise pyaar se dekhaa kare koi