Shayari
tire ishq ki intihaa chaahtaa huun
miri saadgi dekh kyaa chaahtaa huun
haan dikhaa de ai tasavvur phir vo subh o shaam tu
dauD pichhe ki taraf ai gardish-e-ayyaam tu
ہاں دکھا دے اے تصور پھر وہ صبح و شام تو
دوڑ پیچھے کی طرف اے گردش ایام تو
haañ dikhā de ai tasavvur phir vo sub.h o shaam tū
dauḌ pīchhe kī taraf ai gardish-e-ayyām tū

Sir Muhammad Iqbal was a philosopher, poet, and politician whose poetry revolves around self-realisation and the ideal of a perfect human being.
Sir Muhammad Iqbal was a philosopher, poet, and politician whose poetry revolves around self-realisation and the ideal of a perfect human being.
1877–1938
View all quotes by Allama Iqbaltire ishq ki intihaa chaahtaa huun
miri saadgi dekh kyaa chaahtaa huun
nahin is khuli fazaa mein koi gosha-e-faraaghat
ye jahaan ajab jahaan hai na qafas na aashiyaana
nahin teraa nasheman qasr-e-sultaani ke gumbad par
tu shaahin hai baseraa kar pahaaDon ki chaTaanon mein
azaab-e-daanish-e-haazir se baa-khabar huun main
ki main is aag mein Daalaa gayaa huun misl-e-khalil
nigaah-e-ishq dil-e-zinda ki talaash mein hai
shikaar-e-murda sazaa-vaar-e-shaahbaaz nahin
baatil se dabne vaale ai aasmaan nahin ham
sau baar kar chukaa hai tu imtihaan hamaaraa
kahnaa kisi kaa subh-e-shab-e-vasl naaz se
hasrat tumhaari jaan hamaari nikal gai
shabaab Dhalte hi aai piiri maaal par ab nazar hui hai
baDi hi ghaflat mein shab guzaari kahaan pahunch kar sahar hui hai
yaad aati hai achchhi si koi baat sar-e-shaam
phir subh talak sochte rahte hain vo kyaa thi
tu jis ke khvaab mein aayaa ho vaqt-e-subh sanam
namaaz-e-subh ko kis tarah vo qazaa na kare
subh-e-kaazib ki havaa mein dard thaa kitnaa 'munir'
rail ki siiTi baji to dil lahu se bhar gayaa
aahon ke shole jis jaa uThte the 'mir' se shab
vaan jaa ke subh dekhaa musht-e-ghubaar paayaa