SHAWORDS

aankh se 'adaavat ki — Afzal Hazarvi

HomeAfzal HazarviGhazal
"aankh se 'adaavat ki niind ne baghaavat ki us kitaabi chehre ki raat-bhar tilaavat ki be-hijaab hone par aap ne qayaamat ki aap chup rahe lekin aankh ne jasaarat ki dekh kar hamaari or aap ne 'inaayat ki mom the magar 'afzal' aag se mohabbat ki"
Urdu

آنکھ سے عداوت کی نیند نے بغاوت کی اس کتابی چہرے کی رات بھر تلاوت کی بے حجاب ہونے پر آپ نے قیامت کی آپ چپ رہے لیکن آنکھ نے جسارت کی دیکھ کر ہماری اور آپ نے عنایت کی موم تھے مگر افضلؔ آگ سے محبت کی

Hindi

आँख से 'अदावत की नींद ने बग़ावत की उस किताबी चेहरे की रात-भर तिलावत की बे-हिजाब होने पर आप ने क़यामत की आप चुप रहे लेकिन आँख ने जसारत की देख कर हमारी ओर आप ने 'इनायत की मोम थे मगर 'अफ़ज़ल' आग से मोहब्बत की

aañkh se 'adāvat kī
Afzal Hazarvi
Afzal Hazarvi
Afzal Hazarvi
poet15 quotes

More by Afzal Hazarvi

View all →

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud