Quote
"dilon mein dushmanon ke is tarah Dar bol uThte hain gavaahi ko chhupaate hain to manzar bol uThte hain miri sachchaai meri be-gunaahi sab pe zaahir hai ki ab jangal kuein sahraa samundar bol uThte hain vo patthar-dil sahi lekin hamaaraa bhi ye daavaa hai hamaare lab jinhein chhu lein vo patthar bol uThte hain badal jaate hain ik lamhe mein hi taarikh ke dhaare kabhi jo mauj mein aa kar qalandar bol uThte hain ye kyaa jaadu hai vo jab bhi mire milne ko aataa hai khushi se ghar ke sab divaar aur dar bol uThte hain zabaan-e-haq kisi ke jabr se bhi ruk nahin sakti ki neze ki ani par bhi Tange sar bol uThte hain labon ki qaid se kyaa farq aayaa dil ki baaton mein ki saare lafz aankhon se ubhar kar bol uThte hain ajab ahl-e-sitam ahl-e-vafaa mein Than gai 'haidar' sitam karte hain vo aur ye mukarrar bol uThte hain"
