SHAWORDS

ik khvaab ki jo aankh bhigone ke liye hai — Haider Qureshi

HomeHaider QureshiGhazal
"ik khvaab ki jo aankh bhigone ke liye hai ik yaad ki siine mein chubhone ke liye hai ik zakhm ki sab zakhm bhulaa Daale hain jis ne ik gham ki jo taa-umr bhulaane ke liye hai ik ruuh ki sonaa hai magar mail bhari bhi ik aag isi mail ko dhone ke liye hai aankhon mein abhi dhuul si lamhon ki jami hai dil mein koi sailaab saa rone ke liye hai dil ko to bahut pahle se dhaDkaa saa lagaa thaa paanaa tiraa shaayad tujhe khone ke liye hai kashti kaa ye hachkolaa ye mallaah kaa chakkar kashti ko nahin mujh ko Dubone ke liye hai taqdir se laD saktaa hai koi kahaan 'haidar' vo haadsa honaa hai jo hone ke liye hai"
Urdu

اک خواب کہ جو آنکھ بھگونے کے لیے ہے اک یاد کہ سینے میں چبھونے کے لیے ہے اک زخم کہ سب زخم بھلا ڈالے ہیں جس نے اک غم کہ جو تا عمر بھلانے کے لیے ہے اک روح کہ سونا ہے مگر میل بھری بھی اک آگ اسی میل کو دھونے کے لیے ہے آنکھوں میں ابھی دھول سی لمحوں کی جمی ہے دل میں کوئی سیلاب سا رونے کے لیے ہے دل کو تو بہت پہلے سے دھڑکا سا لگا تھا پانا ترا شاید تجھے کھونے کے لیے ہے کشتی کا یہ ہچکولا یہ ملاح کا چکر کشتی کو نہیں مجھ کو ڈبونے کے لیے ہے تقدیر سے لڑ سکتا ہے کوئی کہاں حیدرؔ وہ حادثہ ہونا ہے جو ہونے کے لیے ہے

Hindi

इक ख़्वाब कि जो आँख भिगोने के लिए है इक याद कि सीने में चुभोने के लिए है इक ज़ख़्म कि सब ज़ख़्म भुला डाले हैं जिस ने इक ग़म कि जो ता-उम्र भुलाने के लिए है इक रूह कि सोना है मगर मैल भरी भी इक आग इसी मैल को धोने के लिए है आँखों में अभी धूल सी लम्हों की जमी है दिल में कोई सैलाब सा रोने के लिए है दिल को तो बहुत पहले से धड़का सा लगा था पाना तिरा शायद तुझे खोने के लिए है कश्ती का ये हचकोला ये मल्लाह का चक्कर कश्ती को नहीं मुझ को डुबोने के लिए है तक़दीर से लड़ सकता है कोई कहाँ 'हैदर' वो हादसा होना है जो होने के लिए है

ik ḳhvāb ki jo aañkh bhigone ke liye hai
Haider Qureshi
Haider Qureshi
Haider Qureshi
poet22 quotes

More by Haider Qureshi

View all →
Quote
"dilon mein dushmanon ke is tarah Dar bol uThte hain gavaahi ko chhupaate hain to manzar bol uThte hain miri sachchaai meri be-gunaahi sab pe zaahir hai ki ab jangal kuein sahraa samundar bol uThte hain vo patthar-dil sahi lekin hamaaraa bhi ye daavaa hai hamaare lab jinhein chhu lein vo patthar bol uThte hain badal jaate hain ik lamhe mein hi taarikh ke dhaare kabhi jo mauj mein aa kar qalandar bol uThte hain ye kyaa jaadu hai vo jab bhi mire milne ko aataa hai khushi se ghar ke sab divaar aur dar bol uThte hain zabaan-e-haq kisi ke jabr se bhi ruk nahin sakti ki neze ki ani par bhi Tange sar bol uThte hain labon ki qaid se kyaa farq aayaa dil ki baaton mein ki saare lafz aankhon se ubhar kar bol uThte hain ajab ahl-e-sitam ahl-e-vafaa mein Than gai 'haidar' sitam karte hain vo aur ye mukarrar bol uThte hain"
Haider QureshiHaider Qureshi
Quote
"fasl-e-gham ki jab nau-khezi ho jaati hai dard ki maujon mein bhi tezi ho jaati hai paani mein bhi chaand sitaare ug aate hain aankh se dil tak vo zarkhezi ho jaati hai andar ke jangal se aa jaati hain yaadein aur fazaa mein sandal-bezi ho jaati hai khushiyaan gham mein bilkul ghul-mil si jaati hain aur nashaat mein gham-angezi ho jaati hai shirin se lahje mein bhar jaati hai talkhi hila-jui jab parvezi ho jaati hai be-had power jis ko bhi mil jaae us ki tarz yazidi yaa changezi ho jaati hai ghazlon mein vaise to sach kahtaa huun lekin kuchh na kuchh to rang-aamezi ho jaati hai husn tumhaaraa to hai sach aur khair saraapaa ham se hi bas shar-angezi ho jaati hai zaahir kaa parda haTne vaali manzil par saalik se bhi bad-parhezi ho jaati hai 'rumi' ko 'haidar' jab bhi paDhne lagtaa huun baatin ki duniyaa tabrezi ho jaati hai"
Haider QureshiHaider Qureshi
Quote
"tumhaare ishq mein kis kis tarah kharaab hue rahaa na aalam-e-hijraan na vasl-yaab hue bas itni baat thi do din kabhi na mil paaein kahin pe tapte hue thal kahin chanaab hue ajab sazaa hai ki mere duaaon vaale huruf na mustarad hue ab tak na mustajaab hue zihaanatein thiin tiri yaa anaaDi-pan apnaa savaal vasl se pahle hi laa-javaab hue haqiqat itni hai us ke mire taalluq ki kisi ke dukh the mire naam intisaab hue jise samajhte the sahraa vo ik samundar thaa khilaa vo shakhs to ham kaise aab aab hue na aayaa Dhang hamein koi ishq kaa 'haidar' na dil ke zakhmon ke ham se kabhi hisaab hue"
Haider QureshiHaider Qureshi
Quote
"vasl ki shab thi aur ujaale kar rakkhe the jism o jaan sab us ke havaale kar rakkhe the jaise ye pahlaa aur aakhiri mel huaa ho haal to donon ne behaale kar rakkhe the khoj rahe the ruuh ko jismon ke raste se taur-tariqe paagalon vaale kar rakkhe the ham se naa-daanon ne ishq ki barkat hi se kaise kaise kaam niraale kar rakkhe the vo bhi thaa kuchh halke halke se make-up mein baal apne ham ne bhi kaale kar rakkhe the apne aap hi aayaa thaa phir marham ban kar jis ne hamaare dil mein chhaale kar rakkhe the 'haidar' apni taasirein le aae aakhir hijr mein ham ne jitne naale kar rakkhe the"
Haider QureshiHaider Qureshi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari