"subh chale to zauq-e-talab thaa arsh-nishaan khurshid-shikaar manzil-e-shaam aai to ham hain aur shikaston ke ambaar dil ki naadaani to dekho kyaa kyaa armaan rakhtaa hai jaise davaam kaa aaina ho lamhon ki girti divaar ziist sahi ik tiira shabistaan lekin yaaro shola-e-shauq ik do nafas to aisaa bhaDkaa tur-misaal thaa dil kaa dayaar kal tak main aur tu the baaham raqs-e-sabaa aur khanda-e-gul aaj tire lab yaas-guzida meraa harf-e-shauq figaar zamzama-o-aahang ki duniyaa kyaa yaksar viraan hui mahfil mahfil hu kaa samaan hai chehra chehra sang-e-mazaar yuun bhi aage raah kaThin hai aur athaah andheraa hai ai maazi ke shahr-e-charaaghaan yuun na mujhe pichhe se pukaar sang-o-salib hain maidaan maidaan aur hujum-e-jaan-baazaan kaisi dhuum se aayaa ab ke marg-e-tamannaa kaa tyauhaar"
ab miraa dard na teraa jaadu — Hameed Naseem
"ab miraa dard na teraa jaadu marg-e-amboh mein kyaa main kyaa tu koi aavaaz na koi larzish az ufuq-taa-ba-ufuq aalam-e-hu halqa-e-dud bapaa mauj-e-sabaa bujh gai sina-e-gul mein khushbu barg-e-nau-rasta hain dast-e-majzum zahr shaakhon mein bani mauj-e-numu raakh kaa Dher hain vo log jo the gul-badan ghuncha-dahan ghaaliya-mu vaqt kaa mai-kada tasvir-e-sukut sang be-zarb tab aazurda subu tai huaa marhala-e-bim-o-raja niist hi niist hai yaa-hu yaa-hu"
اب مرا درد نہ تیرا جادو مرگ انبوہ میں کیا میں کیا تو کوئی آواز نہ کوئی لرزش از افق تا بہ افق عالم ہو حلقہ دود بپا موج صبا بجھ گئی سینۂ گل میں خوشبو برگ نو رستہ ہیں دست مجذوم زہر شاخوں میں بنی موج نمو راکھ کا ڈھیر ہیں وہ لوگ جو تھے گل بدن غنچہ دہن غالیہ مو وقت کا مے کدہ تصویر سکوت سنگ بے ضرب تب آزردہ سبو طے ہوا مرحلۂ بیم و رجا نیست ہی نیست ہے یاہو یاہو
अब मिरा दर्द न तेरा जादू मर्ग-ए-अम्बोह में क्या मैं क्या तू कोई आवाज़ न कोई लर्ज़िश अज़ उफ़ुक़-ता-ब-उफ़ुक़ आलम-ए-हू हल्क़ा-ए-दूद बपा मौज-ए-सबा बुझ गई सीना-ए-गुल में ख़ुश्बू बर्ग-ए-नौ-रस्ता हैं दस्त-ए-मज्ज़ूम ज़हर शाख़ों में बनी मौज-ए-नुमू राख का ढेर हैं वो लोग जो थे गुल-बदन ग़ुंचा-दहन ग़ालिया-मू वक़्त का मय-कदा तस्वीर-ए-सुकूत संग बे-ज़र्ब तब आज़ुर्दा सुबू तय हुआ मरहला-ए-बीम-ओ-रजा नीस्त ही नीस्त है या-हू या-हू

More by Hameed Naseem
View all →"nau-ba-nau ye jalva-zaai ye jamaal-e-rang-rang mohlat-e-dil ek lahza daaman-e-nazzaara tang hai kahaan vo aag jo raushan rakhe dil kaa alaav barq-jaulaan mahz chashmak shoala-e-gul mahz rang ai junun tir-e-malaamat kaa koi 'unvaan nikaal kaisaa chipkaa hai badan par firqa-e-naamus-o-nang ab ye us kaa azm tai kar le jo raah-e-aarzu har-qadam daam-e-tahayyur har-qadam divaar-e-sang aaj dekhaa sab ne qaatil ki tahi-dasti kaa haal sail-e-khun-e-aashiqaan mein bah gae shamshir-o-sang"
"tarab se ho aayaa huun aur yaas ki tah tak Duub chukaa huun duur huun apni khoj se ab tak kab se khud ko DhunD rahaa huun main huun ye ghaTtaa phailtaa saaya main ye kaise ho saktaa huun vaqt ke sayyaal aaine mein kaun hai kis ko dekh rahaa huun dil ke kisi pinhaan goshe mein an-jaani koi haar chhipi hai jaan tapaak hain teri baatein main be-baat bhaTak jaataa huun dekhte dekhte teraa chehra aur ik chehra ban jaataa hai ik maanus malul saa chehra kab dekhaa thaa bhuul gayaa huun ik lamhe ne mujh se kahaa thaa tu hi azal hai tu hi abad hai lamha biitaa baat gai is khvaab se kab kaa chaunk uThaa huun dida-e-vaa ke damakte khvaabo mere saath chaloge kab tak tum ki vafur-e-rang-o-navaa ho main ki shikast-e-dil ki sadaa huun khaak uDti hai lab-bosi ko taare aankh ko chhu lete hain qurb kaa khvaahaan mujh se zamaana main tanhaa huun main tanhaa huun"
"hai yak do nafas sair-e-jahaan-e-guzraan aur ai shauq koi rang-e-nashaat-e-dil-o-jaan aur aasudgi-aamoz ho jab aabla-paai ho jaati hai manzil ki lagan dil mein tapaan aur sang-e-nigah-e-shauq hai yaksaani-e-taghir har lahza nai rut ho bahaar aur khizaan aur besh-az-nigah-e-kam nahin pihnaa-e-shab-o-roz ai aalam-e-imkaan koi naadida-jahaan aur ye arz o samaa nang hain maanind-e-kaf-e-dast ik dasht ba-andaaza-e-chashm-e-nigraan aur taufiq faqat mujh ko huaa jaada-e-ehsaas yaa qaafile is tiira khalaa mein hain ravaan aur aagaahi-e-mutlaq jo nahin hai miraa maqdur ik mohlat-e-fariyaad sar-e-kaun-o-makaan aur dil vasl ki lazzat kaa talabgaar hai lekin takmil-e-tamannaa gham-e-furqat hai to haan aur"
"savaal dil kaa shaam-e-gham ko aur udaas kar gayaa tire vajud mein jo ek main thaa vo kidhar gayaa tilism-e-shauq fikr-e-zinda aur karb-e-aagahi tamaam 'umr kaa safar nigaah se guzar gayaa chale to hausla javaan thaa mauj-e-gul thi aarzu jidhar bhi aankh uTh gai samaan nikhar nikhar gayaa kabhi andheri shab mein ik muhib dasht saamne kabhi mah-e-tamaam saath saath taa-sahar gayaa har ek daur munfarid thaa ab bhi dil pe naqsh hai gayaa to yuun lagaa ki ji kaa ek hissa mar gayaa na yaad ki chubhan koi na koi lau malaal ki main jaane kitni duur yunhi khud se be-khabar gayaa nigaah-e-dost dil-navaaz bhi girah-kushaa bhi thi khulaa jo dil pe zindagi kaa bhed ji Thahar gayaa jahaan vajud mein thaa ''main'' ab ek aur naam hai ki meraa bigDaa kaam us ke lutf se sanvar gayaa vo sail-e-nur shab ki ibtidaa se taa-sahar gayaa dil us ke bal pe apne bahr-e-gham ke paar utar gayaa"
"be-karaan dariyaa huun gham kaa aur tughyaani mein huun sab hadein hain phir bhi qaaem kab se hairaani mein huun shab ki tanhaai mein mujh ko aisaa lagtaa hai kabhi main huun ruh-e-zindagi go paikar-e-faani mein huun jagmagaati mahfil-e-aflaak meraa aks-e-zaat lau main huun anjum ki main suraj ki taabaani mein huun subh-gaahaan dasht o gulshan mein nasim-e-narm-mauj biich dariyaa ke bhanvar huun aur jaulaani mein huun sham-e-bazm-e-dil-baraan hai meri dil-sozi ki zau main dil-e-aashiq ke khvaabon ki gul-afshaani mein huun log kyuun is shahr ke itne pareshaan-haal hain main ki khush-dil thaa sadaa kaa is pareshaani mein huun main ki huun ik khush-fahm saada-lauh tifl-e-pir-saal aur phir ziddi bhi huun khush apni naadaani mein huun kyaa khabar meraa safar hai aur kitni duur kaa kaaghzi ik naav huun aur tez-rau paani mein huun husn-e-kul kaa aarzu-mand is tunuk-jaani mein huun mere qad se jo bahut unchaa hai us paani mein huun"
More on Gul
View all →"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
"log kahte hain ki qaatil ko masihaa kahiye kaise mumkin hai andheron ko ujaalaa kahiye chehre paDhnaa to sabhi siikh gae hain lekin kaisi tahzib hai apnon ko paraayaa kahiye jaane pahchaane hue chehre nazar aate hain vaqt qaatil hai yahaan kis ko masihaa kahiye aap jis peD ke saae mein khaDe hain is ko sehn-e-gulshan nahin jaltaa huaa sahraa kahiye sab ke chehron pe hain akhlaaq-o-muravvat ke naqaab kis ko apnaa yahaan aur kis ko paraayaa kahiye shab ke maathe pe koi saaya numudaar huaa us ko ab pyaar ke aangan kaa saveraa kahiye zahr-e-tanhaai-e-gham pi ke mohabbat mein 'khayaal' kis tarah maut ko jiine kaa sahaaraa kahiye"
"vo dost thaa to usi ko adu bhi honaa thaa lahu pahan ke mujhe surkh-ru bhi honaa thaa sunahri haath mein taaza lahu ki fasl na di ki apne haq ke liye jang-ju bhi honaa thaa bagula ban ke samundar mein khaak uDaanaa thi ki lahar lahar mujhe tund-khu bhi honaa thaa mire hi harf dikhaate the meri shakl mujhe ye ishtihaar mire ru-ba-ru bhi honaa thaa kashish thi phuul si is mein to laa-muhaala mujhe asir-e-rang giraftaar-e-bu bhi honaa thaa sazaa to milnaa thi mujh ko barahna lafzon ki zabaan ke saath labon ko rafu bhi honaa thaa safar kaa bojh uThaane se peshtar 'saajid' mizaaj-daan-e-rah-e-justuju bhi honaa thaa"
"ab tire lams ko yaad karne kaa ik silsila aur divaana-pan rah gayaa tu kahin kho gayaa aur pahlu mein teri shabaahat liye ik badan rah gayaa vo saraapaa tiraa vo tire khaal-o-khad meri yaadon mein sab muntashir ho gae lafz ki justuju mein laraztaa huaa nim-vaa saa faqat ik dahan rah gayaa harf ke harf se kyaa tazaadaat hain tu ne bhi kuchh kahaa main ne bhi kuchh kahaa tere pahlu mein duniyaa simaTti gai mere hisse mein harf-e-sukhan rah gayaa tere jaane se mujh par ye uqda khulaa rang-o-khushbu to bas teri miraas the ek hasrat saji rah gai gul-ba-gul ek maatam chaman-dar-chaman rah gayaa ek be-naam khvaahish ki paadaash mein teri palkein bhi baaham piro di gaiin ek vahshat ko sairaab karte hue mein bhi aankhon mein le kar thakan rah gayaa arsa-e-khvaab se vaqt maujud ke raaste mein ganvaa di gai guftugu ek israar ki bebasi rah gai ek inkaar kaa baankpan rah gayaa tu sitaaron ko apni jilau mein liye jaa rahaa thaa tujhe kyaa khabar kyaa huaa ik tamannaa dariche mein baiThi rahi ek bistar kahin be-shikan rah gayaa"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"ham ne sahraa ko sajaayaa thaa gulistaan ki tarah tum ne gulshan ko banaayaa hai bayaabaan ki tarah raat kaa zahr piye khvaab kaa aanchal oDhe kaun hai saath mire gardish-e-dauraan ki tarah DhunDhtaa phirtaa huun ab tak bhi hain sahraa sahraa usi lamhe ko jo thaa fasl-e-bahaaraan ki tarah maslahat-kosh zamaane kaa bharosa kyaa hai jo bhi miltaa hai yahaan gardish-e-dauraan ki tarah aaj vo lamhe mujhe Daste hain tanhaa paa kar kabhi mahbub the jo mujh ko dil-o-jaan ki tarah jaane kyaa baat hai kyuun jashn-e-masarrat mein nadim yaad aati hai tiri shaam-e-gharibaan ki tarah kab talak shahr ki galiyon mein phiroge yaaro aasmaanon pe uDo takht-e-sulaimaan ki tarah ye to parvaanon ke dil hain jo pighal jaate hain kaun jaltaa hai yahaan sham-e-shabistaan ki tarah kaun khvaabon ke jazire se chalaa aayaa 'khayaal' dil mein ik raushni hai subh-e-darakhshaan ki tarah"