"hue sab ke jahaan mein ek jab apnaa jahaan aur ham musalsal laDte rahte hain zamin-o-aasmaan aur ham kabhi aakaash ke taare zamin par bolte bhi the kabhi aisaa bhi thaa jab saath thiin tanhaaiyaan aur ham sabhi ik dusre ke dukh mein sukh mein rote hanste the kabhi the ek ghar ke chaand suraj naddiyaan aur ham moarrikh ki qalam ke chand lafzon si hai ye duniyaa badalti hai har ik yug mein hamaari daastaan aur ham darakhton ko haraa rakhne ke zimmedaar the donon jo sach puchho baraabar ke hain mujrim baaghbaan aur ham"
apnaa gham le ke kahin aur na jaayaa jaae — Nida Fazli
"apnaa gham le ke kahin aur na jaayaa jaae ghar mein bikhri hui chizon ko sajaayaa jaae jin charaaghon ko havaaon kaa koi khauf nahin un charaaghon ko havaaon se bachaayaa jaae khud-kushi karne ki himmat nahin hoti sab mein aur kuchh din abhi auron ko sataayaa jaae baagh mein jaane ke aadaab huaa karte hain kisi titli ko na phulon se uDaayaa jaae kyaa huaa shahr ko kuchh bhi to dikhaai de kahin yuun kiyaa jaae kabhi khud ko rulaayaa jaae ghar se masjid hai bahut duur chalo yuun kar lein kisi rote hue bachche ko hansaayaa jaae"
اپنا غم لے کے کہیں اور نہ جایا جائے گھر میں بکھری ہوئی چیزوں کو سجایا جائے جن چراغوں کو ہواؤں کا کوئی خوف نہیں ان چراغوں کو ہواؤں سے بچایا جائے خود کشی کرنے کی ہمت نہیں ہوتی سب میں اور کچھ دن ابھی اوروں کو ستایا جائے باغ میں جانے کے آداب ہوا کرتے ہیں کسی تتلی کو نہ پھولوں سے اڑایا جائے کیا ہوا شہر کو کچھ بھی تو دکھائی دے کہیں یوں کیا جائے کبھی خود کو رلایا جائے گھر سے مسجد ہے بہت دور چلو یوں کر لیں کسی روتے ہوئے بچے کو ہنسایا جائے
अपना ग़म ले के कहीं और न जाया जाए घर में बिखरी हुई चीज़ों को सजाया जाए जिन चराग़ों को हवाओं का कोई ख़ौफ़ नहीं उन चराग़ों को हवाओं से बचाया जाए ख़ुद-कुशी करने की हिम्मत नहीं होती सब में और कुछ दिन अभी औरों को सताया जाए बाग़ में जाने के आदाब हुआ करते हैं किसी तितली को न फूलों से उड़ाया जाए क्या हुआ शहर को कुछ भी तो दिखाई दे कहीं यूँ किया जाए कभी ख़ुद को रुलाया जाए घर से मस्जिद है बहुत दूर चलो यूँ कर लें किसी रोते हुए बच्चे को हँसाया जाए

More by Nida Fazli
View all →"phir goyaa hui shaam parindon ki zabaani aao sunein miTTi se hi miTTi ki kahaani vaaqif nahin ab koi samundar ki zabaan se sadiyon ki masaafat ko sunaataa to hai paani utre koi mahtaab ki kashti ho tah-e-aab dariyaa mein badalti nahin dariyaa ki ravaani kahtaa hai koi kuchh to samajhtaa hai koi kuchh lafzon se judaa ho gae lafzon ke maaani is baar to donon the nai raahon ke raahi kuchh duur hi hamraah chalein yaadein puraani"
"yuun lag rahaa hai jaise koi aas-paas hai vo kaun hai jo hai bhi nahin aur udaas hai mumkin hai likhne vaale ko bhi ye khabar na ho qisse mein jo nahin hai vahi baat khaas hai maane na maane koi haqiqat to hai yahi charkha hai jis ke paas usi ki kapaas hai itnaa bhi ban-sanvar ke na niklaa kare koi lagtaa hai har libaas mein vo be-libaas hai chhoTaa baDaa hai paani khud apne hisaab se utni hi har nadi hai yahaan jitni pyaas hai"
"us ke dushman hain bahut aadmi achchhaa hogaa vo bhi meri hi tarah shahr mein tanhaa hogaa itnaa sach bol ki honTon kaa tabassum na bujhe raushni khatm na kar aage andheraa hogaa pyaas jis nahr se Takraai vo banjar nikli jis ko pichhe kahin chhoD aae vo dariyaa hogaa mire baare mein koi raae to hogi us ki us ne mujh ko bhi kabhi toD ke dekhaa hogaa ek mahfil mein kai mahfilein hoti hain sharik jis ko bhi paas se dekhoge akelaa hogaa"
"main apne ikhtiyaar mein huun bhi nahin bhi huun duniyaa ke kaarobaar mein huun bhi nahin bhi huun teri hi justuju mein lagaa hai kabhi kabhi main tere intizaar mein huun bhi nahin bhi huun fihrist marne vaalon ki qaatil ke paas hai main apne hi mazaar mein huun bhi nahin bhi huun auron ke saath aisaa koi masala nahin ik main hi is dayaar mein huun bhi nahin bhi huun mujh se hi hai har ek siyaasat kaa e'tibaar phir bhi kisi shumaar mein huun bhi nahin bhi huun"
"kisi se khush hai kisi se khafaa khafaa saa hai vo shahr mein abhi shaayad nayaa nayaa saa hai na jaane kitne badan vo pahan ke leTaa hai bahut qarib hai phir bhi chhupaa chhupaa saa hai sulagtaa shahr nadi khuun kab ki baatein hain kahin kahin se ye qissa sunaa sunaa saa hai saron ke siing to jangal ki den hote hain vo aadmi to hai lekin Daraa Daraa saa hai kuchh aur dhuup to ho os suukh jaane tak vo peD ab ke baras bhi haraa haraa saa hai"
More on Khudi
View all →"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"