"baagh-e-jahaan ke gul hain yaa khaar hain to ham hain gar yaar hain to ham hain aghyaar hain to ham hain dariyaa-e-maarifat ke dekhaa to ham hain saahil gar vaar hain to ham hain aur paar hain to ham hain vaabasta hai hamin se gar jabr hai o gar qadr majbur hain to ham hain mukhtaar hain to ham hain teraa hi husn jag mein har-chand maujzan hai tis par bhi tishna-kaam-e-didaar hain to ham hain alfaaz-e-khalq ham bin sab mohmalaat se the maani ki tarah rabt-e-guftaar hain to ham hain auron se to giraani yak-lakht uTh gai hai ai 'dard' apne dil ke gar baar hain to ham hain"
arz-o-samaa kahaan tiri vusat ko paa sake — Khwaja Meer Dard
"arz-o-samaa kahaan tiri vusat ko paa sake meraa hi dil hai vo ki jahaan tu samaa sake vahdat mein teri harf dui kaa na aa sake aaina kyaa majaal tujhe munh dikhaa sake main vo fataada huun ki baghair-az-fanaa mujhe naqsh-e-qadam ki tarah na koi uThaa sake qaasid nahin ye kaam tiraa apni raah le us kaa payaam dil ke sivaa kaun laa sake ghaafil khudaa ki yaad pe mat bhuul zinhaar apne taiin bhulaa de agar tu bhulaa sake yaa-rab ye kyaa tilism hai idraak-o-fahm yaan dauDe hazaar aap se baahar na jaa sake go bahs kar ke baat biThaai bhi kyaa husul dil se uThaa ghilaaf agar tu uThaa sake itfaa-e-naar-e-ishq na ho aab-e-ashk se ye aag vo nahin jise paani bujhaa sake mast-e-sharaab-e-ishq vo be-khud hai jis ko hashr ai 'dard' chaahe laae ba-khud par na laa sake"
ارض و سما کہاں تری وسعت کو پا سکے میرا ہی دل ہے وہ کہ جہاں تو سما سکے وحدت میں تیری حرف دوئی کا نہ آ سکے آئینہ کیا مجال تجھے منہ دکھا سکے میں وہ فتادہ ہوں کہ بغیر از فنا مجھے نقش قدم کی طرح نہ کوئی اٹھا سکے قاصد نہیں یہ کام ترا اپنی راہ لے اس کا پیام دل کے سوا کون لا سکے غافل خدا کی یاد پہ مت بھول زینہار اپنے تئیں بھلا دے اگر تو بھلا سکے یارب یہ کیا طلسم ہے ادراک و فہم یاں دوڑے ہزار آپ سے باہر نہ جا سکے گو بحث کر کے بات بٹھائی بھی کیا حصول دل سے اٹھا غلاف اگر تو اٹھا سکے اطفائے نار عشق نہ ہو آب اشک سے یہ آگ وہ نہیں جسے پانی بجھا سکے مست شراب عشق وہ بے خود ہے جس کو حشر اے دردؔ چاہے لائے بہ خود پر نہ لا سکے
अर्ज़-ओ-समा कहाँ तिरी वुसअ'त को पा सके मेरा ही दिल है वो कि जहाँ तू समा सके वहदत में तेरी हर्फ़ दुई का न आ सके आईना क्या मजाल तुझे मुँह दिखा सके मैं वो फ़तादा हूँ कि बग़ैर-अज़-फ़ना मुझे नक़्श-ए-क़दम की तरह न कोई उठा सके क़ासिद नहीं ये काम तिरा अपनी राह ले उस का पयाम दिल के सिवा कौन ला सके ग़ाफ़िल ख़ुदा की याद पे मत भूल ज़ीनहार अपने तईं भुला दे अगर तू भुला सके या-रब ये क्या तिलिस्म है इदराक-ओ-फ़हम याँ दौड़े हज़ार आप से बाहर न जा सके गो बहस कर के बात बिठाई भी क्या हुसूल दिल से उठा ग़िलाफ़ अगर तू उठा सके इतफ़ा-ए-नार-ए-इश्क़ न हो आब-ए-अश्क से ये आग वो नहीं जिसे पानी बुझा सके मस्त-ए-शराब-ए-इश्क़ वो बे-ख़ुद है जिस को हश्र ऐ 'दर्द' चाहे लाए ब-ख़ुद पर न ला सके

More by Khwaja Meer Dard
View all →"ham tujh se kis havas ki falak justuju karein dil hi nahin rahaa hai ki kuchh aarzu karein miT jaaein ek aan mein kasrat-numaaiyaan ham aaine ke saamne jab aa ke hu karein tar-daamani pe shaikh hamaari na jaaiyo daaman nichoD dein to farishte vuzu karein sar-taa-qadam zabaan hain juun shama go ki ham par ye kahaan majaal jo kuchh guftugu karein har-chand aaina huun par itnaa huun naa-qubul munh pher le vo jis ke mujhe ru-ba-ru karein ne gul ko hai sabaat na ham ko hai e'tibaar kis baat par chaman havas-e-rang-o-bu karein hai apni ye salaah ki sab zaahidaan-e-shahr ai 'dard' aa ke baiat-e-dast-e-subu karein"
"mujhe dar se apne tu Taale hai ye bataa mujhe tu kahaan nahin koi aur bhi hai tire sivaa tu agar nahin tu jahaan nahin paDi jis taraf ko nigaah yaan nazar aa gayaa hai khudaa hi vaan ye hain go ki aankhon ki putliyaan mire dil mein jaae butaan nahin mire dil ke shishe ko bevafaa tu ne TukDe TukDe hi kar diyaa mire paas to vahi ek thaa yaan dukaan-e-shisha-garaan nahin mujhe raat saari hi tere haan kaTe kyuun ke rote na shama saan ki ho sake hai kuchh ab bayaan na ye baat hai ki zabaan nahin koi samjhe kyuun ke ye muddaaa ki paheli saa hai ye maajraa kahaa main tujhe nahin chaah kyaa lagaa kahne mujh se ki haan nahin na milaa hamein koi nukta-daan ye bipat sunaa dein bhalaa kahaan na huaa sabhon pe vahi ayaan jo kasu se yaan to nihaan nahin tujhe dard kyuun ki sunaaun main na khudaa kisi ko dikhaae ye jo kuchh apne ji pe guzarti hai kahun kyaa ki us kaa bayaan nahin"
"qatl-e-aashiq kisi maashuq se kuchh duur na thaa par tire ahd se aage to ye dastur na thaa raat majlis mein tire husn ke shoale ke huzur shama ke munh pe jo dekhaa to kahin nuur na thaa zikr meraa hi vo kartaa thaa sarihan lekin main ne puchhaa to kahaa khair ye mazkur na thaa baavajude ki par-o-baal na the aadam ke vahaan pahunchaa ki farishte kaa bhi maqdur na thaa parvarish gham ki tire yaan taiin to ki dekhaa koi bhi daagh thaa siine mein ki naasur na thaa mohtasib aaj to mai-khaane mein tere haathon dil na thaa koi ki shishe ki tarah chuur na thaa 'dard' ke milne se ai yaar buraa kyuun maanaa us ko kuchh aur sivaa diid ke manzur na thaa"
"tujhi ko jo yaan jalva-farmaa na dekhaa baraabar hai duniyaa ko dekhaa na dekhaa miraa ghuncha-e-dil hai vo dil girafta ki jis ko kisu ne kabhu vaa na dekhaa yagaana hai tu aah begaanagi mein koi dusraa aur aisaa na dekhaa aziyyat musibat malaamat balaaein tire ishq mein ham ne kyaa kyaa na dekhaa kiyaa muj ko daaghon ne sarv-e-charaaghaan kabhu tu ne aa kar tamaashaa na dekhaa taghaaful ne tere ye kuchh din dikhaae idhar tu ne lekin na dekhaa na dekhaa hijaab-e-rukh-e-yaar the aap hi ham khuli aankh jab koi pardaa na dekhaa shab o roz ai 'dard' dar pe huun us ke kisu ne jise yaan na samjhaa na dekhaa"
"ishq har-chand miri jaan sadaa khaataa hai par ye lazzat to vo hai ji hi jise paataa hai aah kab tak main bakun teri balaa sunti hai baatein logon ki jo kuchh dil mujhe sunvaataa hai ham-nashin puchh na us shokh ki khubi mujh se kyaa kahun tujh se gharaz ji ko mire bhaataa hai baat kuchh dil ki hamaare to na suljhi ham se aapi khush hove hai phir aap hi ghabraataa hai ji kaDaa kar ke tire kuche se jab jaataa huun dil-e-dushman ye mujhe gher ke phir laataa hai raah peinDe kabhu us shokh ke taiin ham se bhi diid vaa diid to hoti hai jo mil jaataa hai 'dard' ki qadr mire yaar samajhnaa vallaah aisaa aazaad tire daam mein yuun aataa hai"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"