SHAWORDS

ashk-e-gham aankhon se kitne bah gae — JaiKrishn Chaudhry Habeeb

"ashk-e-gham aankhon se kitne bah gae jo na kahnaa thaa use ham kah gae chhuT ke tujh se be-sahaare rah gae zindagi ke sab kinaare bah gae koi insaan saa asir-e-gham nahin aai jo sar par hamaare sah gae dekh kar duniyaa ke ye taur-o-tariq kitne naghme ghuT ke dil mein rah gae pahunchaa divaana to manzil par magar in-o-aan mein ham ulajh kar rah gae teraa gham fikr-e-jahaan tanhaaiyaan daagh ham siine pe kyaa kyaa sah gae hijr mein bhi vasl ke aae maze yuun tasavvur mein ham un ke bah gae kis ne paai teri nazron se panaah dil ko apne ab bachaate rah gae ab javaani kaa vahaan josh-o-kharosh ai 'habib' ab hausle sab Dah gae"
Urdu

اشک غم آنکھوں سے کتنے بہہ گئے جو نہ کہنا تھا اسے ہم کہہ گئے چھٹ کے تجھ سے بے سہارے رہ گئے زندگی کے سب کنارے بہہ گئے کوئی انساں سا اسیر غم نہیں آئی جو سر پر ہمارے سہہ گئے دیکھ کر دنیا کے یہ طور و طریق کتنے نغمے گھٹ کے دل میں رہ گئے پہنچا دیوانہ تو منزل پر مگر این و آں میں ہم الجھ کر رہ گئے تیرا غم فکر جہاں تنہائیاں داغ ہم سینے پہ کیا کیا سہہ گئے ہجر میں بھی وصل کے آئے مزے یوں تصور میں ہم ان کے بہہ گئے کس نے پائی تیری نظروں سے پناہ دل کو اپنے اب بچاتے رہ گئے اب جوانی کا وہاں جوش و خروش اے حبیبؔ اب حوصلے سب ڈھ گئے

Hindi

अश्क-ए-ग़म आँखों से कितने बह गए जो न कहना था उसे हम कह गए छुट के तुझ से बे-सहारे रह गए ज़िंदगी के सब किनारे बह गए कोई इंसाँ सा असीर-ए-ग़म नहीं आई जो सर पर हमारे सह गए देख कर दुनिया के ये तौर-ओ-तरीक़ कितने नग़्मे घुट के दिल में रह गए पहुँचा दीवाना तो मंज़िल पर मगर ईन-ओ-आँ में हम उलझ कर रह गए तेरा ग़म फ़िक्र-ए-जहाँ तन्हाइयाँ दाग़ हम सीने पे क्या क्या सह गए हिज्र में भी वस्ल के आए मज़े यूँ तसव्वुर में हम उन के बह गए किस ने पाई तेरी नज़रों से पनाह दिल को अपने अब बचाते रह गए अब जवानी का वहाँ जोश-ओ-ख़रोश ऐ 'हबीब' अब हौसले सब ढह गए

ashk-e-ġham āñkhoñ se kitne bah ga.e
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
poet125 quotes

More by JaiKrishn Chaudhry Habeeb

View all →
Quote
"mire hi dil se tu puchh kitni tiri adaaon mein zindagi hai tiraa sitam bhi karam hai mujh par tiri jafaaon mein zindagi hai jo tere javon se hai farozaan jo teri nikhat se jhumti hai jo tere naghmon se guunj uTThe unhin fazaaon mein zindagi hai inhin se rangin hai bazm-e-hasti inhin se nikhar hai husn-e-duniyaa jo chaahein samjhein jahaan vaale miri khataaon mein zindagi hai khushi mein sar dhunne vaalo sun lo ki kitnaa shirin hai naghma-e-gham jo TuuTe dil se sadaaein uTThi unhin sadaaon mein zindagi hai rachi hai sargoshiyaan si jin mein hamaare raaz-o-niyaaz ki hi jo husn-o-ulfat se hi basi hai unhin havaaon mein zindagi hai ghurur kitnaa bhi tum ko apne ho zehn-o-baazu ki quvvaton par zaraa to be-kas dilon se puchho ki kyaa duaaon mein zindagi hai tiri hasin kaa ho saaz bajtaa ki aabshaaron kaa ho tarannum ho raqs-e-gul yaa navaa-e-bulbul inhin navaaon mein zindagi hai jo be-niyaaz-e-zar-e-zamin hai jo dil ki daulat se hi ghani hai 'habib' in ko samajh na kamtar inhin adaaon mein zindagi hai"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"tiri mohabbat mein gham jo aae to us se baDh kar khushi nahin hai vafaa ki manzil ke khaar mein bhi gulon se kam dil-kashi nahin hai na tujh mein jurat hai rind ki si na tujh mein vusat dil-o-nazar ki aziim shai hai ye rasm-e-rindi ye sirf baada-kashi nahin hai libaas-e-nau mein havas ne aa kar mazaaq-e-husn-o-nazar hain badle vo ishq mein hai na sarfaroshi vo husn mein dilbari nahin hai tujhi se garmi thi mahfilon ki tujhi se thi vo chaman ki sairein nahin vo mahfil mein lutf baaqi gulon ke lab par hansi nahin hai nahin ye mumkin ki us ke dar se tu khaali daaman hi lauT jaae talab hi teri hai khaam ab tak nazar bhi dar par jami nahin hai khirad ki go hain hazaar aankhein hai dil ki sirf ek aankh lekin jo dil ki bujh jaae sham-e-ulfat to phir kahin raushni nahin hai gham-aashnaa teraa dil nahin hai to aae us mein gudaaz kaise jo saaz dil kaa nahin hai TuuTaa to us mein phir naghmagi nahin hai karoge kyaa tum 'habib' aakhir hayaat-e-tul-o-tavil le kar tabassum-e-gul ke ek lamhe mein kyaa koi zindagi nahin hai"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"khamosh nazron se husn-e-butaan ki baat karein na lab pe aai jo us daastaan ki baat karein rah-e-junun mein bhaTakte kahaan kahaan pahunche kahaan kahaan ki sunaaein kahaan ki baat karein jigar ke daagh dikhaane se faaeda kyaa hai abas hai mahz ke zor-e-zamaan ki baat karein na bhuul jaae zamaana vafaa ki qadron ko miTe jo ishq mein un ke nishaan ki baat karein jabin-e-shauq kaa sajda yahaan vahaan kyon ho jahaan ho azmat-e-sar ham vahaan ki baat karein qadam qadam pe guzarte hain imtihaan kitne chalo ki aaj nae imtihaan ki baat karein ye yaad-e-lutf-e-bahaaraan bhi kam nahin hai 'habib' bhari khizaan mein bhi kyaa ham khizaan ki baat karein"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"tumhaari aarzu tum se kahin baDh kar hasin nikli ki duniyaa ki har ik shai se yahi dil ke qarin nikli main samjhaa yaad bhi tark-e-taalluq par to aaegi magar jab dil TaTolaa hai vahin ye jaaguzin nikli abhi kuchh aur bhi khelo mire chaahat bhare dil se abhi bhi zakhm kam kam hain abhi hasrat nahin nikli sar-e-mahfil kiyaa rusvaa mujhe teri mohabbat ne jhuki jo naam par tere vo meri hi jabin nikli nigaahon ne tujhe DhunDaa tujhe dil se pukaaraa hai nazar aai na jo surat vo surat dil-nashin nikli hai do hi din ki umr-e-gul magar zinda-dili dekho tabassum lab pe raqsaan hai fazaa hargiz nahin nikli jahaan par sarhadein dair-o-haram ki khatm hoti hain vahin par nur-e-imaan hai vahin raah-e-yaqin nikli hamaari zindagi dariyaa ki mauj-e-muztarib si hai kahin ubhri kahin machli kahin Duubi kahin nikli uThaa karti hain maujon ki tarah hi hasratein dil mein nai kitni ubhar aaein jo ik hasrat kahin nikli shab-e-furqat 'habib' apnaa na koi kaam kaa niklaa na aansu baa-asar nikle na aah-e-aatishin nikli"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"shikva nahin gila nahin rabt koi baham nahin rasm-e-salaam kyaa jahaan pursish-e-haal-e-gham nahin go ki nahin nigaah mein dil se nahin ho duur tum dida-e-dil ke vaaste faasla besh-o-kam nahin bazm se aap kyaa gae raunaq-e-bazm le gae ab vo surur-e-dil kahaan aap gae to ham nahin aap ki yaad aa gai dil pe khushi si chhaa gai ab mujhe gham se vaasta ab mujhe koi gham nahin pahlaa saa vo karam kahaan lutf ki vo nazar kahaan hai ye sitam ki intihaa koi nayaa sitam nahin us ki nigaah-e-mast kaa ab bhi khumaar hai magar saaqi-e-dil-navaaz kaa pahlaa saa vo karam nahin daaman idhar hai taar taar rukh pe nahin udhar naqaab 'ishq agar hai be-vaqaar husn kaa bhi bharam nahin manzil-e-zindagi na puchh sirf safar hai zindagi paanv uThaa qadam baDhaa hosh sanbhaal tham nahin dekh kar un ke iltifaat rah gai dil ki dil mein baat hosh gayaa jo vo gae aae to dam mein dam nahin minnatein shaikh-o-barhaman kijiye kis liye 'habib' dil hai miri nigaah mein dair nahin haram nahin"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"kyaa kahun kyaa kyaa gayaa jab apnaa kaashaana gayaa khum gayaa saaqi gayaa aur ham se mai-khaana gayaa ho gae kitne hi gum aql-o-khirad ki raah mein manzil-e-maqsud tak to sirf divaana gayaa gosha-e-tahzib mein bhi ghaat mein sayyaad hai ab kabhi kaa farq-e-aabaadi-o-viraana gayaa aaj ki is zindagi ke tez-rau tufaan mein vaqt-e-zikr-e-saaghar-o-minaa-o-paimaana gayaa jiit le qalb-o-jigar qudrat kaa ab vo vaqt hai ab sanam ke jitne kaa lutf-e-afsaana gayaa zindagi ne ab taraashe nau-butaan-e-dil-rubaa vo puraanaa tarz-e-sajda aur but-khaana gayaa ham zamaane ke rukh-o-raftaar ki baatein karein ab vo lutf-e-garmi-e-raftaar-e-jaanaanaa gayaa aahan-o-tesha ki hai jhankaar naghma vaqt kaa ho gayaa khaamosh mutrib sher-e-rindaana gayaa khair maqdam ham nae dil se karein ab ai 'habib' raat guzri shama rukhsat aur parvaana gayaa"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi