"tujh ko khiffat se bachaa luun paani tishnagi apni chhupaa luun paani khaak uDti hai har ik chehre par kis ki aankhon se nikaalun paani dhuup dariyaa pe nazar rakhti hai tujh ko kuuze mein chhupaa luun paani uDte phirte hain saron par baadal khvaab aankhon mein basaa luun paani roz bachchon ko sulaa duun yunhi roz patthar ko ubaalun paani aag se kheltaa hai kal mujh ko aa tujhe apnaa banaa luun paani khaarzaaron pe chalun nange paanv khushk dharti ki duaa luun paani sabr ki had bhi to kuchh hoti hai kitnaa palkon pe sambhaalun paani bhuul jaaun na kahin tairaaki kyuun na kashti hi jalaa luun paani apni vahshat kaa ik izhaar sahi kar ke sard aag jalaa luun paani zakhm ho phuul ho yaa angaara ho jo raushan to bulaa luun paani shart hai teri rifaaqat varna vaqt ki aag mein Daalun paani aag matlub-e-lab-e-tishna hai main tujhe kaise bulaa luun paani chashm-e-ahbaab jo ho khushk 'ataa' khuun ko apne banaa luun paani"
tirgi shama bani raahguzar mein aai — Ata Abidi
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
تیرگی شمع بنی راہ گزر میں آئی ساعت اک ایسی بھی کل اپنے سفر میں آئی جس جگہ چہرہ ہی معیار وفا ٹھہرا ہے خاک ہی خاک وہاں دست ہنر میں آئی تیری نظروں میں تھی دنیا تو یہی کیا کم تھا حشر یہ ہے کہ تو دنیا کی نظر میں آئی بارہا یاروں نے ساحل سے کہا تھا ہم ہیں بارہا ناؤ مگر اپنی بھنور میں آئی زندگی سمجھوں اسے یا کہ اسے موت کہوں وہ جو مہمان کی صورت مرے گھر میں آئی یوں بھی تاریخ کی تاریخ رقم ہوتی ہے نکلی تاریخ محل سے تو کھنڈر میں آئی خواب ہی خواب کی تعبیر ہوا تو جانا زندگی کیوں کسی آنکھوں کے اثر میں آئی شمع جلتے ہی بجھی اور دھواں ایسا اٹھا لذت شام یہاں خواب سحر میں آئی زندگی کچھ ہے عطاؔ شعر و ادب ہے کچھ اور یہ دو رنگی کی وبا کیسی ہنر میں آئی
तीरगी शम्अ बनी राहगुज़र में आई साअत इक ऐसी भी कल अपने सफ़र में आई जिस जगह चेहरा ही मेयार-ए-वफ़ा ठहरा है ख़ाक ही ख़ाक वहाँ दस्त-ए-हुनर में आई तेरी नज़रों में थी दुनिया तो यही क्या कम था हश्र ये है कि तू दुनिया की नज़र में आई बार-हा यारों ने साहिल से कहा था हम हैं बार-हा नाव मगर अपनी भँवर में आई ज़िंदगी समझूँ इसे या कि इसे मौत कहूँ वो जो मेहमान की सूरत मिरे घर में आई यूँ भी तारीख़ की तारीख़ रक़म होती है निकली तारीख़ महल से तो खंडर में आई ख़्वाब ही ख़्वाब की ताबीर हुआ तो जाना ज़िंदगी क्यूँ किसी आँखों के असर में आई शम्अ जलते ही बुझी और धुआँ ऐसा उठा लज़्ज़त-ए-शाम यहाँ ख़्वाब-ए-सहर में आई ज़िंदगी कुछ है 'अता' शेर-ओ-अदब है कुछ और ये दो-रंगी की वबा कैसी हुनर में आई

More by Ata Abidi
View all →"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
"nashaat-e-kaar se mahrum hi sahi ham bhi havas se ziist ki phir bhi nahin tahi ham bhi hamein bhi zo'm hai daanishvaraana mansab kaa hain mubtlaa-e-fareb-e-khud-aagahi ham bhi hain muTThiyon mein sabhi rahnumaa khutut agar uThaae phirte hain kyon baar-e-gumrahi ham bhi hai ziist naam taghayyur kaa ye sunaa to hai vahi ho tum bhi vahi gham bhi aur vahi ham bhi agar hai daavaa-e-ulfat to kyon uThaae phirein misaal-e-munshi-o-taajir 'ataa' bahi ham bhi"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"
"koi bhi khush nahin hai is khabar se ki duniyaa jald lauTegi safar se main sahraa mein safina dekhtaa huun samundar koi guzraa hai idhar se sambhaalo apnaa harf-e-daad-o-tahsin main kab huun mutmain arz-e-hunar se khataa hai ye javaaz apni khataa kaa khataaein hoti rahti hain bashar se sabhon mein khaamiyaan hi dekhtaa hai vo hai mahrum kyaa husn-e-nazar se ghazab kaa aaegaa sailaab yaaro ki guzraa hai bahut saa paani sar se bulandi itni bhi achchhi nahin hai utaaro ab 'ataa' ko daar par se"
"sar pe suraj ho magar saaya na ho aisaa na thaa pahle bhi tanhaa thaa lekin is qadar tanhaa na thaa vo to ye kahiye gham-e-dauraan ne rakh li aabru varna dil ki baat thi kuchh khel bachchon kaa na thaa bach ke tufaan se nikal aayaa to hairaani hai kyuun go safina Dubtaa thaa hausla TuuTaa na thaa aap aae to yaqin karnaa paDaa varna yahaan raat ko suraj kabhi aflaak par niklaa na thaa shahr-e-dilli aaina-khaana hai lekin ai 'ataa' jaal to khush-fahmiyon kaa aap ko bunnaa na thaa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"bahut khajil hain ki ham raaegaan bhi zinda rahe jahaan pe tu bhi nahin thaa vahaan bhi zinda rahe ajiib shart hai is be-yaqin mizaaj ki bhi ki tu bhi paas ho teraa gumaan bhi zinda rahe tujhe pe zid hai magar is tarah nahin hotaa ki tu bhi zinda rahe daastaan bhi zinda rahe vo kaun log the jin kaa vajud jism se thaa ye kaun hain jo pas-e-jism-o-jaan bhi zinda rahe jo ye na ho to sukhan kaa koi javaaz nahin zamir zinda rahe to zabaan bhi zinda rahe ye kaaenaat faqat manfaat kaa naam nahin koi yahaan pe baraae ziyaan bhi zinda rahe adam mein jo bhi nahin thaa vo sab vajud mein thaa ye ham hi the jo kahin darmiyaan bhi zinda rahe"