SHAWORDS

bad-zan hain ahl-e-kaaba mujh dair-aashnaa se — Mubarak Azimabadi

"bad-zan hain ahl-e-kaaba mujh dair-aashnaa se kahte hain mujh ko kaafir fariyaad hai khudaa se bedaad mohtasib ki fariyaad hai khudaa se barse sharaab ghar ghar mai-khvaar ki duaa se chitvan badal rahi hai naam aa gayaa vafaa kaa tevar bigaD rahe hain afsaana-e-vafaa se ham kyuun tumhein bataaein ham kyuun tumhein jataaein roz-e-jazaa na jaane maangeinge kyaa khudaa se vo puchhte hain mujh se kaise ho tum 'mubaarak' main kah rahaa huun achchhaa sarkaar ki duaa se"
Urdu

بدظن ہیں اہل کعبہ مجھ دیر آشنا سے کہتے ہیں مجھ کو کافر فریاد ہے خدا سے بیداد محتسب کی فریاد ہے خدا سے برسے شراب گھر گھر مے خوار کی دعا سے چتون بدل رہی ہے نام آ گیا وفا کا تیور بگڑ رہے ہیں افسانۂ وفا سے ہم کیوں تمہیں بتائیں ہم کیوں تمہیں جتائیں روز جزا نہ جانے مانگیں گے کیا خدا سے وہ پوچھتے ہیں مجھ سے کیسے ہو تم مبارکؔ میں کہہ رہا ہوں اچھا سرکار کی دعا سے

Hindi

बद-ज़न हैं अहल-ए-काबा मुझ दैर-आश्ना से कहते हैं मुझ को काफ़िर फ़रियाद है ख़ुदा से बेदाद मोहतसिब की फ़रियाद है ख़ुदा से बरसे शराब घर घर मय-ख़्वार की दुआ से चितवन बदल रही है नाम आ गया वफ़ा का तेवर बिगड़ रहे हैं अफ़साना-ए-वफ़ा से हम क्यूँ तुम्हें बताएँ हम क्यूँ तुम्हें जताएँ रोज़-ए-जज़ा न जाने माँगेंगे क्या ख़ुदा से वो पूछते हैं मुझ से कैसे हो तुम 'मुबारक' मैं कह रहा हूँ अच्छा सरकार की दुआ से

bad-zan haiñ ahl-e-ka.aba mujh dair-āshnā se
Mubarak Azimabadi
Mubarak Azimabadi
Mubarak Azimabadi
poet110 quotes

More by Mubarak Azimabadi

View all →
Quote
"mohabbat mein Thani aksar yahaan tak ki pahunche maarke tiir o kamaan tak chale naavak khinchi zaalim kamaan tak kahaan tak imtihaan aakhir kahaan tak chale jaate hain aavaaz-e-jaras par pahunch jaaeinge bichhDe kaarvaan tak havaa-e-shauq ke jhonke salaamat rahoge tum pas-e-parda kahaan tak na vo ayyaar mujh se puchhtaa hai na dil ki baat aati hai zabaan tak usi sar ko sar-e-shorida kahiye jo pahunche us ke sang-e-aastaan tak niyaaz o naaz ke charche raheinge hamaari aur tumhaari daastaan tak 'mubaarak' ko koi din aur sun lo bayaan kaa lutf hai us khush-bayaan tak"
Mubarak AzimabadiMubarak Azimabadi
Quote
"baghal mein ham ne raat ik ghairat-e-mahtaab dekhaa hai tumhin is khvaab ki taabir ho kyaa khvaab dekhaa hai taDap bijli ki bhi dekhi hai vo dil thaam lete hain tiri be-taabiyon ko bhi dil-e-betaab dekhaa hai vo ulfat dost hon naaseh duaa hi dil se nikli hai agar dushman ke ghar bhi majma-e-ahbaab dekhaa hai khudaa ke saamne ai mohtasib sach bolnaa hogaa mire saaghar mein mai dekhi hai yaa khun-naab dekhaa hai 'mubaarak' iztiraab-e-shauq kaa aalam nahin chhuptaa ki jab dekhaa hai ham ne aap ko betaab dekhaa hai"
Mubarak AzimabadiMubarak Azimabadi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari