"in aankhon se yuun raah-e-sukhan vaa nahin karte khaamosh rahaa karte hain bolaa nahin karte andesha-e-tufaan-e-balaa-khez bahut hai is vaaste ham qatre ko dariyaa nahin karte parvaa nahin kuchh un ko hamaari to hamein kyaa rukh un ki taraf ham bhi ziyaada nahin karte gharqaabi kaa itnaa hi agar Dar hai to ye log kyon saahil-e-dariyaa se kinaara nahin karte bas qatra-e-khun se ubhar aate hain kai rang ham siine pe khud baagh lagaayaa nahin karte"
bhalaa kin aankhon se ab ye rang-e-bahaar dekhun — Ahmad Mahfuz
"bhalaa kin aankhon se ab ye rang-e-bahaar dekhun nazar uThaate hi baagh ko shoala-zaar dekhun kabhi vo aalam ki us taraf aankh hi na uTThe kabhi ye haalat ki us ko divaana-vaar dekhun ye saari be-manzari savaad-e-sukut se hai sadaa vo chamke to dhund ke aar-paar dekhun ye kaisaa khuun hai ki bah rahaa hai na jam rahaa hai ye rang dekhun ki dil jigar kaa fishaar dekhun tire sivaa bhi hazaar manzar hain dekhne ko tujhe na dekhun to kyon tiraa intizaar dekhun"
بھلا کن آنکھوں سے اب یہ رنگ بہار دیکھوں نظر اٹھاتے ہی باغ کو شعلہ زار دیکھوں کبھی وہ عالم کہ اس طرف آنکھ ہی نہ اٹھے کبھی یہ حالت کہ اس کو دیوانہ وار دیکھوں یہ ساری بے منظری سواد سکوت سے ہے صدا وہ چمکے تو دھند کے آر پار دیکھوں یہ کیسا خوں ہے کہ بہہ رہا ہے نہ جم رہا ہے یہ رنگ دیکھوں کہ دل جگر کا فشار دیکھوں ترے سوا بھی ہزار منظر ہیں دیکھنے کو تجھے نہ دیکھوں تو کیوں ترا انتظار دیکھوں
भला किन आँखों से अब ये रंग-ए-बहार देखूँ नज़र उठाते ही बाग़ को शो'ला-ज़ार देखूँ कभी वो आलम कि उस तरफ़ आँख ही न उट्ठे कभी ये हालत कि उस को दीवाना-वार देखूँ ये सारी बे-मंज़री सवाद-ए-सुकूत से है सदा वो चमके तो धुंद के आर-पार देखूँ ये कैसा ख़ूँ है कि बह रहा है न जम रहा है ये रंग देखूँ कि दिल जिगर का फ़िशार देखूँ तिरे सिवा भी हज़ार मंज़र हैं देखने को तुझे न देखूँ तो क्यों तिरा इंतिज़ार देखूँ

More by Ahmad Mahfuz
View all →"shikva karte hain jo ik baar kahin milte hain ek hi shahr mein kyon rah ke nahin milte hain ham ne ik umr uThaai hai aziyyat kyaa kyaa phir khudaa khair kare vahm-o-yaqin milte hain nahin milte to khazaf bhi nahin milte ham ko aur milte hain to kyaa durr-e-samin milte hain aise milne se to behtar hai mile dil ko najaat jahaan milnaa nahin hotaa vo vahin milte hain"
"ajab balaa kaa tasarruf thaa khvaab par us kaa khuli jo aankh to pahron rahaa asar us kaa ham apni taab-e-tamaashaa pe itne khush kyon hain abhi in aankhon ne dekhaa kahaan hunar us kaa ajab nahin rag-e-gardan jo aap hi TuuTe udhar kashida bahut ho gayaa hai sar us kaa vo raat jis ke liye kaise kaise din kaaTe vo raat aai to aalam hi thaa digar us kaa zaminiyon ki kahaan hamsari nasib use ki hai sadaa se dimaagh aasmaan par us kaa"
"kyaa hijr mein taskin ki surat nahin rahti rahti hai magar teri badaulat nahin rahti ab jaise koi kaam hi ruktaa nahin apnaa ab jaise kisi shai ki zarurat nahin rahti duniyaa se guzar jaate hain duniyaa ki talab mein duniyaa se hamein koi shikaayat nahin rahti vo mauj-e-sad-aavaaz bulaati to hai ab bhi mujh ko hi udhar jaane ki fursat nahin rahti naagin ki tarah raat simaT aati hai dil mein jab saamne ik chaand si surat nahin rahti kahte the bahut dil na lagaa kaar-e-havas mein le dekh ki is shauq mein izzat nahin rahti"
"koi savaal sitaara saa aasmaan mein thaa tamaam raat ye dil sakht imtihaan mein thaa sukun-saraab zamin mein jhulas gayaa thaa badan na jaane kaun dhanak-rang saaebaan mein thaa zaraa saa dam na liyaa thaa ki mund gaiin aankhein main us safar se palaT kar ajab takaan mein thaa vo jaate jaate achaanak muDaa jo meri taraf main dam-ba-khud thaa ki phir kuchh na darmiyaan mein thaa use bhulaayaa to apnaa vajud bhi na rahaa ki meraa saaraa asaasa usi makaan mein thaa"
"ho hi jaataa hai kisi tarah guzaaraa apnaa varna ab shahr mein hai kaun hamaaraa apnaa dil ke dariyaa mein huiin gharq tamannaaein to kyaa mauja-e-khun se hai gul-rang kinaara apnaa kis qadar sang-e-malaamat hai mire chaaron taraf main ne us dar pe yunhi sar nahin maaraa apnaa ik tamaashaa hi sahi aaj havaa dein is ko aur kis din ke liye thaa ye sharaara apnaa naam unchaa rahe ai pasti-e-duniyaa teraa hai tire dam se bulandi pe sitaara apnaa"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"