"jis vaqt bhi mauzun si koi baat hui hai maahaul se naghmaat ki barsaat hui hai mai-khaane mein hai shab ke guzarne kaa ye aalam mahsus ye hotaa hai abhi raat hui hai hai arsa-e-mahshar bhi koi kunj-e-gulistaan! dekho to kahaan un se mulaaqaat hui hai ye dekh ki kis haal mein ham zinda hain ab tak mat puchh ki kaise basar-auqaat hui hai imkaan nikal aae hain 'adam' sulh ke kuchh kuchh kal shab gham-e-hasti se miri baat hui hai"
bhuli-bisri baaton se kyaa tashkil-e-rudaad karein — Abdul Hamid Adam
"bhuli-bisri baaton se kyaa tashkil-e-rudaad karein ham ko to kuchh yaad nahin hai aap hi kuchh irshaad karein pahle-pahal jab aap kaa joban itnaa shahr-aashob na thaa ik mushtaaq se saada-dil insaan ki parastish yaad karein aap se mumkin hai dil-jui yazdaan ki ye riit nahin jis ko sun kar chup rahnaa hai us se kyaa fariyaad karein ishq ne saunpaa hai kaam apnaa ab to nibhaanaa hi hogaa main bhi kuchh koshish kartaa huun aap bhi kuchh imdaad karein juzv-e-tabiat ban jaaein to jaur karam ho jaate hain lutf na ab raaij farmaaein sirf sitam ijaad karein"
بھولی بسری باتوں سے کیا تشکیل روداد کریں ہم کو تو کچھ یاد نہیں ہے آپ ہی کچھ ارشاد کریں پہلے پہل جب آپ کا جوبن اتنا شہر آشوب نہ تھا اک مشتاق سے سادہ دل انساں کی پرستش یاد کریں آپ سے ممکن ہے دل جوئی یزداں کی یہ ریت نہیں جس کو سن کر چپ رہنا ہے اس سے کیا فریاد کریں عشق نے سونپا ہے کام اپنا اب تو نبھانا ہی ہوگا میں بھی کچھ کوشش کرتا ہوں آپ بھی کچھ امداد کریں جزو طبیعت بن جائیں تو جور کرم ہو جاتے ہیں لطف نہ اب رائج فرمائیں صرف ستم ایجاد کریں
भूली-बिसरी बातों से क्या तश्कील-ए-रूदाद करें हम को तो कुछ याद नहीं है आप ही कुछ इरशाद करें पहले-पहल जब आप का जोबन इतना शहर-आशोब न था इक मुश्ताक़ से सादा-दिल इंसाँ की परस्तिश याद करें आप से मुमकिन है दिल-जूई यज़्दाँ की ये रीत नहीं जिस को सुन कर चुप रहना है उस से क्या फ़रियाद करें इश्क़ ने सौंपा है काम अपना अब तो निभाना ही होगा मैं भी कुछ कोशिश करता हूँ आप भी कुछ इमदाद करें जुज़्व-ए-तबीअ'त बन जाएँ तो जौर करम हो जाते हैं लुत्फ़ न अब राइज फ़रमाएँ सिर्फ़ सितम ईजाद करें

More by Abdul Hamid Adam
View all →"gunaah-e-jurat-e-tadbir kar rahaa huun main ye kis qimaash ki taqsir kar rahaa huun main main jaantaa huun alaamat hai zoaf himmat ki jise nasib se taabir kar rahaa huun main abhi tadabbur-o-tadbir kaa nahin mauqaa abhi himaayat-e-taqdir kar rahaa huun main hujum-e-hashr mein kholungaa adl kaa daftar abhi to faisle tahrir kar rahaa huun main javaab dene ki aadat nahin khudaa ko agar to kyaa parastish-e-tasvir kar rahaa huun main tabaah ho ke haqaaeq ke khurdure-pan se tasavvuraat ki taamir kar rahaa huun main khudaa ke aage 'adam' zikr-e-azmat-e-insaan ghalat maqaam pe taqrir kar rahaa huun main"
"be-jumbish-e-abru to nahin kaam chalegaa aa kar mire qisse mein tiraa naam chalegaa Thahraa hai mire zehn mein jo qaafila-e-gul thoDaa saa to le kar yahaan aaraam chalegaa zuhhaad ki maalaa nahin jo raat ko nikle rindon kaa piyaala hai sar-e-shaam chalegaa tu raqs kare gird mire aur main gaaun ye khel bhi ai gardish-e-ayyaam chalegaa chhup chhup ke jo aataa hai abhi meri gali mein ik roz mire saath sar-e-aam chalegaa"
"har dushman-e-vafaa mujhe mahbub ho gayaa jo moajaza huaa vo bahut khuub ho gayaa ishq ek sidhi-saadi si mantiq ki baat hai raghbat mujhe hui to vo marghub ho gayaa divaangi baghair hayaat itni talkh thi jo shakhs bhi zahin thaa majzub ho gayaa mujrim thaa jo vo apni zehaanat se bach gayaa jis se khataa na ki thi vo maslub ho gayaa vo khat jo us ke haath se purze huaa 'adam' duniyaa kaa sab se qimti maktub ho gayaa"
"ek dilkash zahr se labrez paimaane kaa naam zindagi kyaa hai khushi se jal ke mar jaane kaa naam 'aql hai bil-maslahat be-ai'tamaadi ki ravish 'ishq hai be-saakhta imaan le aane kaa naam aagahi kyaa hai musalsal khud-farebi kaa chalan raushni kyaa hai fareb-e-mustaqil khaane kaa naam khaamushi uryaani-e-mafhum kaa taabish-kada guftugu maa'shuq ko malbus pahnaane kaa naam ab mujhe daar-o-rasan ki samt muDne dijiye aap ne khud to chunaa thaa mere afsaane kaa naam khvaahishon ki ibtidaa ghunche chaTakhne ki sadaa khvaahishon ki intihaa phulon ke murjhaane kaa naam dost-daari kaa ye pairaaya bhi kyaa dilchasp hai le rahe hain saamne mere vo begaane kaa naam hain 'adam' ke zikr par kyon aap itne pur-ghazab sham' ke hamraah aa jaataa hai parvaane kaa naam"
"afsaana chaahte the vo afsaana ban gayaa main husn-e-ittifaaq se divaana ban gayaa vo ik nigaah dekh ke khud bhi hain sharmsaar naa-aagahi mein yunhi ik afsaana ban gayaa mauj-e-havaa se zulf jo lahraa gai tiri meraa shuur laghzish-e-mastaana ban gayaa husn ek ikhtiyaar-e-mukammal hai aap ne divaana kar diyaa jise divaana ban gayaa zikr us kaa guftugu mein jo shaamil huaa 'adam' jo sher kah diyaa vo pari-khaana ban gayaa"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"