SHAWORDS

chaman mein shab ko jo vo shokh be-naqaab aayaa — Haidar Ali Aatish

"chaman mein shab ko jo vo shokh be-naqaab aayaa yaqin ho gayaa shabnam ko aaftaab aayaa un ankhDiyon mein agar nashsha-e-sharaab aayaa salaam jhuk ke karungaa jo phir hijaab aayaa kisi ke mahram-e-aab-e-ravaan ki yaad aai habaab ke jo baraabar kabhi habaab aayaa shab-e-firaaq mein mujh ko sulaane aayaa thaa jagaayaa main ne jo afsaana-go ko khvaab aayaa adam mein hasti se jaa kar yahi kahungaa main hazaar hasrat-e-zinda ko gaaD daab aayaa chakor husn-e-mah-e-chaar-dah ko bhuul gayaa muraad par jo tiraa aalam-e-shabaab aayaa mohabbat-e-mai-o-maashuq tark kar 'aatish' safed baal hue mausam-e-khizaab aayaa"
Urdu

چمن میں شب کو جو وہ شوخ بے نقاب آیا یقین ہو گیا شبنم کو آفتاب آیا ان انکھڑیوں میں اگر نشۂ شراب آیا سلام جھک کے کروں گا جو پھر حجاب آیا کسی کے محرم آب رواں کی یاد آئی حباب کے جو برابر کبھی حباب آیا شب فراق میں مجھ کو سلانے آیا تھا جگایا میں نے جو افسانہ گو کو خواب آیا عدم میں ہستی سے جا کر یہی کہوں گا میں ہزار حسرت زندہ کو گاڑ داب آیا چکور حسن مہ چار دہ کو بھول گیا مراد پر جو ترا عالم شباب آیا محبت مے و معشوق ترک کر آتشؔ سفید بال ہوئے موسم خضاب آیا

Hindi

चमन में शब को जो वो शोख़ बे-नक़ाब आया यक़ीन हो गया शबनम को आफ़्ताब आया उन अँखड़ियों में अगर नश्शा-ए-शराब आया सलाम झुक के करूँगा जो फिर हिजाब आया किसी के महरम-ए-आब-ए-रवाँ की याद आई हबाब के जो बराबर कभी हबाब आया शब-ए-फ़िराक़ में मुझ को सुलाने आया था जगाया मैं ने जो अफ़्साना-गो को ख़्वाब आया अदम में हस्ती से जा कर यही कहूँगा मैं हज़ार हसरत-ए-ज़िंदा को गाड़ दाब आया चकोर हुस्न-ए-मह-ए-चार-दह को भूल गया मुराद पर जो तिरा आलम-ए-शबाब आया मोहब्बत-ए-मय-ओ-माशूक़ तर्क कर 'आतिश' सफ़ेद बाल हुए मौसम-ए-ख़िज़ाब आया

chaman meñ shab ko jo vo shoḳh be-naqāb aayā
Haidar Ali Aatish
Haidar Ali Aatish
Haidar Ali Aatish
poet192 quotes

More by Haidar Ali Aatish

View all →
Quote
"koi achchhaa nahin hotaa hai bari chaalon se lab-e-baam aa ke khaDe ho na khule baalon se roz-o-shab kis liye rahtaa huun ilaahi betaab na to goron se mohabbat na mujhe kaalon se josh-e-vahshat mein jo jangal ki taraf jaa niklaa tap chaDhi sher-e-niyastaan ko mire naalon se koi kuchh ishq kaa kartaa hai bayaan koi kuchh tang aayaa huun main is qaziya ke dallaalon se beshtar subh-e-shab-e-vasl se ham guzreinge zor-e-adbaar chalegaa na khush-iqbaalon se mast haathi hai tiri chashm-e-siyah mast ai yaar saf-e-mizhgaan use ghere hue hai bhaalon se ru-e-khubaan se milegaa hamein bosa ki nahin haal in shaklon kaa kuchh puchhiye rammaalon se aarzi husn se nafrat ye hui hai dil ko rutba zulfon ko nahin makDiyon ke jaalon se khat-e-shab-gun ne nikal kar abas andher kiyaa kaafiristaan to vo rukh aage hi thaa khaalon se do jahaan hashr ke din hoveinge baaham maujud muttafiq honge idhar vaale udhar vaalon se dil hasinon ke tasavvur se banaayaa khaali aaina-khaanon mein kasrat rahi timsaalon se kuchh to halkaa karein khaar-e-rah sahraa-e-junun bojh langar kaa hue hain kaf-e-paa chhaalon se in ke boson ki tamannaa hai labon ko 'aatish' aaina kasb-e-safaa karte hain jin gaalon se"
Haidar Ali AatishHaidar Ali Aatish
Quote
"khaar matlub jo hove to gulistaan maangun bijli girne ko jo ji chaahe to baaraan maangun shama gul hove jo subh-e-shab-e-hijraan maangun os paDni bhi ho mauquf jo yaaraan maangun khaak mein bhi jo milun main to kisi sahraa mein tum se miTTi bhi na ai gabr o musalmaan maangun bakht-e-vaazhun ne zabaan ko ye asar bakhshaa hai talkhi-e-marg mazaa de jo namakdaan maangun khaana-e-dil mein karun daagh-e-mohabbat ko talab raushni ke liye is ghar ke jo mehmaan maangun paadshaahi se faqiri kaa hai paayaa baalaa boriyaa chhoD ke kyaa takht-e-sulaimaan maangun ranj se ishq ke hai raaht-e-duniyaa bad-tar zakhm-e-khandaan huun agar main gul-e-khandaan maangun de diyaa kijiye saudaai tumhaaraa huun miyaan sunghne ko jo kabhi zulf-e-pareshaan maangun aashiqe-e-dast-e-nigaarin huun ajab kyaa is kaa bhiik dariyaa se agar panja-e-marjaan maangun meve par baagh-e-jahaan mein ho jo dil ko raghbat shajar-e-husn se main seb-e-zanakhdaan maangun jaama-e-jism bhi rakhne kaa nahin dast-e-junun pairahan-e-khaak mein divaana-e-uryaan maangun yaas-o-hirmaan huun jo lohe ke chane bhi to chabaaun neamat-e-ishq ke qaabil lab-o-dandaan maangun milti ho maangne se baagh-e-jahaan mein jo muraad gul se bulbul ke kafan ke liye daamaan maangun kab se dar par tire saail huun main 'aatish' ki tarah vo mile mujh ko jo kuchh ai shah-e-khubaan maangun"
Haidar Ali AatishHaidar Ali Aatish
Quote
"bargashta-taalai kaa tamaashaa dikhaaun main ghar ko lage jo aag to paani bujhaaun main jins-e-giraan-bahaa kaa kharidaar kaun hai yaktaa nahin ilaahi jo chori hi jaaun main laala-rukhon ke husn kaa bhukaa huun is qadar dil ho na sair laakh agar daagh khaaun main aankhein miri kare jo munavvar jamaal-e-yaar ghē ke charaagh tuur ke uupar jalaaun main murde ki tarah sote hain kaise mire nasib Thokar se paa-e-yaar ke un ko jagaaun main bosa mile kamaan kaa jo abru-e-yaar ki mehraab-e-bait-e-kaaba mein chillaa chaDhaaun main ji chaahtaa hai shauq-e-shahaadat mein qabl-e-marg banvaa ke qabr-e-laala ko us par lagaaun main ghar mein jo mujh faqir ke vo shaah-e-husn aae mizhgaan ke boriye jo khaDe hain bichhaaun main kaanTaa sukhaa ke hijr ne har-chand kar diyaa vo gul-badan mile to na phulaa samaaun main tum to gharib-khaane mein aae na ek roz farmaaiye to shab ko kisi vaqt aauun main baarik-bin huun shaaer-e-naazuk-khayaal huun mazmun jahaan kamar kaa mile baandh laaun main 'aatish' ghulaam-e-saaqi-e-kausar huun chaahiye firdaus kaa khulaa huaa darvaaza paaun main"
Haidar Ali AatishHaidar Ali Aatish
Quote
"qad-e-sanam saa agar aafrida honaa thaa na sarv-e-baagh ko itnaa kashida honaa thaa huaa hai zulf se gustaakh kis qadar shaana hamaare paas bhi dast-e-burida honaa thaa na khinchnaa thaa zulekhaa ko daaman-e-yusuf usi kaa parda-e-ismat darida honaa thaa diyaa na saath jo sabr-o-qaraar ne na diyaa ravaana mulk-e-adam ko jarida honaa thaa miTaae se koi miTtaa hai baatilon ke haq kuchh ikhtiyaar se kyaa barguzida honaa thaa na jaantaa thaa ghazab hai nigah kaa tiir ai dil tujhi ko saamne aafat-rasida honaa thaa rulaataa shaam-o-sahar kis tarah na taale-e-past buland sar se mire aab-dida honaa thaa gurez-e-yaar ne barbaad kar diyaa ham ko ghubaar-e-raah ghazaal-e-ramida honaa thaa na aai daaman-e-daaya mein niind ai 'aatish' darun-e-daaman-e-khaak aaramida honaa thaa"
Haidar Ali AatishHaidar Ali Aatish
Quote
"shohra-e-aafaaq mujh saa kaun saa divaana hai hind mein main huun paristaan mein miraa afsaana hai said-gaah-e-murgh-e-dil rukhsaara-e-jaanaana hai daam-e-zulf-e-ambarin hai khaal-e-mushkin daana hai husn se rutba hai apne ishq-e-kaamil kaa buland aastaana par pari hai baam par divaana hai is mein rahtaa hai safaa-e-ru-e-jaanaan kaa khayaal dil nahin pahlu mein apne aaina kaa khaana hai bechtaa huun dil ko jo mahbub chaahe mol le bosa qimat hai tavajjoh ki nazar baiaana hai phuTein vo aankhein nigaah-e-bad se jo dekhein tujhe aatishin rukhsaar mijmar khaal kaalaa daana hai roz-o-shab us shama-ru ko bhejtaa huun khatt-e-shauq naama-bar din ko kabutar raat ko parvaana hai khaar khaar-e-dil ghanimat jaantaa huun ishq mein zulf-e-dud-e-aah ki aarastagi kaashaana hai sharh likkhaa chaahiye us ki bayaaz-e-subh par matla-e-khurshid bait-e-abru-e-jaanaana hai haalat-e-aaina rakhtaa hai safaa se dil miraa aashnaa se aashnaa begaana se begaana hai qatl se mujh sakht-jaan ke munkir ai qaatil na ho hujjat-e-qaate tiri talvaar kaa dandaana hai vaaste har shai ke duniyaa mein muqarrar hain mahal shahr mein jab tak hai majnun ganj-e-be-viraanaa hai baagh-e-aalam mein nahin us shokh saa koi hasin gul hai apnaa yaar yusuf sabza-e-begaana hai ab nahin ai yaar jauban ko tire bim-e-zavaal khatt-e-mushkin husn ki jaagir kaa parvaana hai haal hai jis kaa usi ke vaaste hai khushnumaa naqs hai talvaar kaa vasf arraa kaa dandaana hai yaar khinche tegh tere qatl karne ke liye sar jhukaa 'aatish' ye jaa-e-sajda-e-shukraana hai"
Haidar Ali AatishHaidar Ali Aatish

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari