Quote
"dukhon kaa dasht aankhon kaa samundar chhoD aayaa huun jo ghar mein laa na sakta thaa vo baahar chhoD aayaa huun tum agli baarishon ke baa'd jaakar dekhnaa pyaare tumhaaraa naam divaaron pe likh kar chhoD aayaa huun mohabbat ki hai us ghar mein rihaaish to nahin ki hai abhi to sirf darvaaze pe bistar chhoD aayaa huun tiri baanhon mein aa kar bhi yahi mahsus hotaa hai ki khud ko vaqt ke rahm-o-karam par chhoD aayaa huun abhi kuchh der mein phailegi khushbu saari basti mein vahaan ke ik dariche mein gul-e-tar chhoD aaya huun khudaa-na-khvaasta main bhi agar banbaas luun 'taabish' vahaan kis ko bataaungaa bharaa ghar chhoD aaya huun"
