"khud ko be-shak mire aa'saab pe taari na samajh lekin ai 'ishq mujhe 'ishq se 'aari na samajh tujh se maangaa hai zarurat ke 'alaava tujh ko tu mujhe dost samajh dost bhikaari na samajh sag-e-aavaara ki aavaaz mein aavaaz milaa raat ko raat samajh vaqt-guzaari na samajh main guzar jaaungaa maqtal se bagule ki tarah tu mire raqs ko zaalim miri baari na samajh"
yuun to shiraaza-e-jaan kar ke baham uThte hain — Abbas Tabish
"yuun to shiraaza-e-jaan kar ke baham uThte hain baiThne lagtaa hai dil junhi qadam uThte hain ham to is razm-gah-e-vaqt mein rahte hain jahaan haath kaT jaaein to daanton se alam uThte hain sahl angaar-tabiat kaa buraa ho jis se naaz uThte hain tire aur na sitam uThte hain koi raunde to uThaate hain nigaahein apni varna miTTi ki tarah raah se kam uThte hain niind jaati hi nahin arz-e-hunar se aage daftar-e-gham hi sadaa kar ke raqam uThte hain din ki aaghosh-e-razaaat se nikal kar 'taabish' raat ki raat kaf-e-khaak se ham uThte hain"
یوں تو شیرازۂ جاں کر کے بہم اٹھتے ہیں بیٹھنے لگتا ہے دل جوں ہی قدم اٹھتے ہیں ہم تو اس رزم گہ وقت میں رہتے ہیں جہاں ہاتھ کٹ جائیں تو دانتوں سے علم اٹھتے ہیں سہل انگار طبیعت کا برا ہو جس سے ناز اٹھتے ہیں ترے اور نہ ستم اٹھتے ہیں کوئی روندے تو اٹھاتے ہیں نگاہیں اپنی ورنہ مٹی کی طرح راہ سے کم اٹھتے ہیں نیند جاتی ہی نہیں عرض ہنر سے آگے دفتر غم ہی سدا کر کے رقم اٹھتے ہیں دن کی آغوش رضاعت سے نکل کر تابشؔ رات کی رات کف خاک سے ہم اٹھتے ہیں
यूँ तो शीराज़ा-ए-जाँ कर के बहम उठते हैं बैठने लगता है दिल जूँही क़दम उठते हैं हम तो इस रज़्म-गह-ए-वक़्त में रहते हैं जहाँ हाथ कट जाएँ तो दाँतों से अलम उठते हैं सहल अंगार-तबीअ'त का बुरा हो जिस से नाज़ उठते हैं तिरे और न सितम उठते हैं कोई रौंदे तो उठाते हैं निगाहें अपनी वर्ना मिट्टी की तरह राह से कम उठते हैं नींद जाती ही नहीं अर्ज़-ए-हुनर से आगे दफ़्तर-ए-ग़म ही सदा कर के रक़म उठते हैं दिन की आग़ोश-ए-रज़ाअत से निकल कर 'ताबिश' रात की रात कफ़-ए-ख़ाक से हम उठते हैं

More by Abbas Tabish
View all →"koi Takraa ke subuk-sar bhi to ho saktaa hai meri taamir mein patthar bhi to ho saktaa hai kyuun na ai shakhs tujhe haath lagaa kar dekhun tu mire vahm se baDh kar bhi to ho saktaa hai tu hi tu hai to phir ab jumla jamaal-e-duniyaa teraa shak aur kisi par bhi to ho saktaa hai ye jo hai phuul hatheli pe ise phuul na jaan meraa dil jism se baahar bhi to ho saktaa hai shaakh par baiThe parinde ko uDaane vaale peD ke haath mein patthar bhi to ho saktaa hai kyaa zaruri hai ki baahar hi numu ho meri meraa khilnaa mire andar bhi to ho saktaa hai ye jo hai ret kaa Tiila mire qadmon ke tale koi dam mein mire uupar bhi to ho saktaa hai kyaa zaruri hai ki ham haar ke jitein 'taabish' ishq kaa khel baraabar bhi to ho saktaa hai"
"chamkegaa shajar par na mire ghar mein rahegaa vo chaand hai aur chaand samundar mein rahegaa ab saanp ke maanand mire pichhe paDaa hai shab ko yahi saaya mire paikar mein rahegaa khvaahish ko khudaa rizq baham kartaa hai dil mein lagtaa hai ye kiiDaa isi patthar mein rahegaa aae hain to sustaa ke chale jaaeinge panchhi vo peD isi tarh isi ghar mein rahegaa taare bhi to mehvar se nikal jaate hain pyaare aakhir koi kab tak tire chakkar mein rahegaa"
"isi liye to ye shaamein ujaDne lagti hain ki lau baDhaa ke havaaein sukaDne lagti hain main kaise apne tavaazun ko barqaraar rakhun qadam jamaaun to saansein ukhaDne lagti hain yunhi nahin mujhe dariyaa ko dekhne se gurez sunaa hai paani mein shaklein bigaDne lagti hain isi liye to havaa apne ghar nahin jaati ki us ke baa'd ye galiyaan ujaDne lagti hain rahein khamosh to honTon se khuun Tapaktaa hai karein kalaam to khaalein udhaDne lagti hain agar main saans bhi aahista se na luun 'taabish' mire badan mein daraaDein si paDne lagti hain"
"dhundli samton mein agar kuunj kaa par mil jaae phir to ai dar-badari mujh ko bhi ghar mil jaae aur hi rang mein ho barg-o-samar kaa honaa jis ki khvaahish hai mujhe vo bhi agar mil jaae muntazir jis kaa huun vo aae zaruri to nahin ye bhi mumkin hai koi aur khabar mil jaae khaak-o-khvaab ek hi thaili ke hain chaTTe-baTTe dil ki marzi hai jidhar chaahe udhar mil jaae ehtimaam aisaa ho fursat ke dinon mein dil kaa ek Dar khatm ho aur dusraa Dar mil jaae is tarah se na guzaarungaa yaqinan tujh ko zindagi tu jo mujhe baar-e-digar mil jaae"
"dukhon kaa dasht aankhon kaa samundar chhoD aayaa huun jo ghar mein laa na sakta thaa vo baahar chhoD aayaa huun tum agli baarishon ke baa'd jaakar dekhnaa pyaare tumhaaraa naam divaaron pe likh kar chhoD aayaa huun mohabbat ki hai us ghar mein rihaaish to nahin ki hai abhi to sirf darvaaze pe bistar chhoD aayaa huun tiri baanhon mein aa kar bhi yahi mahsus hotaa hai ki khud ko vaqt ke rahm-o-karam par chhoD aayaa huun abhi kuchh der mein phailegi khushbu saari basti mein vahaan ke ik dariche mein gul-e-tar chhoD aaya huun khudaa-na-khvaasta main bhi agar banbaas luun 'taabish' vahaan kis ko bataaungaa bharaa ghar chhoD aaya huun"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"