SHAWORDS

chup hai aaghaaz mein, phir shor-e-ajal paDtaa hai — Irfan Sattar

HomeIrfan SattarGhazal
"chup hai aaghaaz mein, phir shor-e-ajal paDtaa hai aur kahin biich mein imkaan kaa pal paDtaa hai ek vahshat hai ki hoti hai achaanak taari ek gham hai ki yakaayak hi ubal paDtaa hai yaad kaa phuul mahakte hi navaah-e-shab mein koi khushbu se mulaaqaat ko chal paDtaa hai hujra-e-zaat mein sannaaTaa hi aisaa hai ki dil dhyaan mein gunjti aahaT pe uchhal paDtaa hai rok letaa hai abad vaqt ke us paar ki raah dusri samt se jaaun to azal paDtaa hai saaaton ki yahi takraar hai jaari har-dam meri duniyaa mein koi aaj, na kal paDtaa hai taab-e-yak-lahza kahaan husn-e-junun-khez ke pesh saans lene se tavajjoh mein khalal paDtaa hai mujh mein phaili hui taariki se ghabraa ke koi raushni dekh ke mujh mein se nikal paDtaa hai jab bhi lagtaa hai sukhan ki na koi lau hai na rau dafatan harf koi khuun mein machal paDtaa hai gham chhupaae nahin chhuptaa hai karun kyaa 'irfaan' naam luun us kaa to aavaaz mein bal paDtaa hai"
Urdu

چپ ہے آغاز میں، پھر شور اجل پڑتا ہے اور کہیں بیچ میں امکان کا پل پڑتا ہے ایک وحشت ہے کہ ہوتی ہے اچانک طاری ایک غم ہے کہ یکایک ہی ابل پڑتا ہے یاد کا پھول مہکتے ہی نواح شب میں کوئی خوشبو سے ملاقات کو چل پڑتا ہے حجرۂ ذات میں سناٹا ہی ایسا ہے کہ دل دھیان میں گونجتی آہٹ پہ اچھل پڑتا ہے روک لیتا ہے ابد وقت کے اس پار کی راہ دوسری سمت سے جاؤں تو ازل پڑتا ہے ساعتوں کی یہی تکرار ہے جاری ہر دم میری دنیا میں کوئی آج، نہ کل پڑتا ہے تاب یک لحظہ کہاں حسن جنوں خیز کے پیش سانس لینے سے توجہ میں خلل پڑتا ہے مجھ میں پھیلی ہوئی تاریکی سے گھبرا کے کوئی روشنی دیکھ کے مجھ میں سے نکل پڑتا ہے جب بھی لگتا ہے سخن کی نہ کوئی لو ہے نہ رو دفعتاً حرف کوئی خوں میں مچل پڑتا ہے غم چھپائے نہیں چھپتا ہے کروں کیا عرفانؔ نام لوں اس کا تو آواز میں بل پڑتا ہے

Hindi

चुप है आग़ाज़ में, फिर शोर-ए-अजल पड़ता है और कहीं बीच में इम्कान का पल पड़ता है एक वहशत है कि होती है अचानक तारी एक ग़म है कि यकायक ही उबल पड़ता है याद का फूल महकते ही नवाह-ए-शब में कोई ख़ुशबू से मुलाक़ात को चल पड़ता है हुजरा-ए-ज़ात में सन्नाटा ही ऐसा है कि दिल ध्यान में गूँजती आहट पे उछल पड़ता है रोक लेता है अबद वक़्त के उस पार की राह दूसरी सम्त से जाऊँ तो अज़ल पड़ता है साअतों की यही तकरार है जारी हर-दम मेरी दुनिया में कोई आज, न कल पड़ता है ताब-ए-यक-लहज़ा कहाँ हुस्न-ए-जुनूँ-ख़ेज़ के पेश साँस लेने से तवज्जोह में ख़लल पड़ता है मुझ में फैली हुई तारीकी से घबरा के कोई रौशनी देख के मुझ में से निकल पड़ता है जब भी लगता है सुख़न की न कोई लौ है न रौ दफ़अतन हर्फ़ कोई ख़ूँ में मचल पड़ता है ग़म छुपाए नहीं छुपता है करूँ क्या 'इरफ़ान' नाम लूँ उस का तो आवाज़ में बल पड़ता है

chup hai āġhāz meñ, phir shor-e-ajal paḌtā hai
Irfan Sattar
Irfan Sattar
Irfan Sattar
poet92 quotes

More by Irfan Sattar

View all →
Quote
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahut khajil hain ki ham raaegaan bhi zinda rahe jahaan pe tu bhi nahin thaa vahaan bhi zinda rahe ajiib shart hai is be-yaqin mizaaj ki bhi ki tu bhi paas ho teraa gumaan bhi zinda rahe tujhe pe zid hai magar is tarah nahin hotaa ki tu bhi zinda rahe daastaan bhi zinda rahe vo kaun log the jin kaa vajud jism se thaa ye kaun hain jo pas-e-jism-o-jaan bhi zinda rahe jo ye na ho to sukhan kaa koi javaaz nahin zamir zinda rahe to zabaan bhi zinda rahe ye kaaenaat faqat manfaat kaa naam nahin koi yahaan pe baraae ziyaan bhi zinda rahe adam mein jo bhi nahin thaa vo sab vajud mein thaa ye ham hi the jo kahin darmiyaan bhi zinda rahe"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"
Irfan SattarIrfan Sattar

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari